Friday, February 29, 2008

12 th febuary poem - Tasveer

To download this poem in Ankit's own voice here is the Link - http://rapidshare.com/files/92125023/12feb_closin_poem_RJ_ANKIT___TASVEER.wav.html
LYRIC :-
kal khamoshi se ek tasveer banane baitha tha
jab tujhako raat apane ek khwab me dekha
kal khamoshi se ek tasveer banane baitha tha
jab tujhako raat apane ek khwab me dekha
us khwab me na jane kyu ro rahi thi tum
apane pyaar ko shayad kho rahi thi tum
bahut koshish ki tumhe chup karane ki
un aansuo ko dur bhagane ki
bahut koshish ki tumhe chup karane ki
un aansuo ko dur bhagane ki
par un ashqo ki to baadh hi aa gayi thi
jab chunni se tum apani aankhen sahla rahi thi
lakh koshish ke baad bhi kuch bana na paya
bas un aansuo ko apane sath le aya
kalam uthakar adi tirachi khinch di kuch lakire
kalam uthakar adi tirachi khinch di kuch lakire
jab padhane baitha to kuch bhi samajh na paya main
teri tasveer banane baitha tha
tera aks bhi na dekha paya main

No comments: