Friday, February 29, 2008

16th febuary closing poem - chain

Download link to download this poem in Ankit's voice :- http://rapidshare.com/files/93524354/chain___closing_poem_RJ_ANKIT.wav.html
LYRICS :-
gulo ki tarah humane zindagi ko is kadar jana
gulo ki tarah humane zindagi ko is kadar jana
kisi ki zulfo me khona aur fir bikhar jana
agar aise gaye to zindagi bhar koi yaad ayega
agar aise hi chale gaye to zindagi bhar koi yaad ayega
hawao se kisi ka lipatana titliyo ka kisi ko chukar jana
badal kar rakh diya tha badalo ko jin parindo ne
unhe kisane sikhaya apane saye se dar jana
kab tak is band kamare ki fiza barasegi
kab tum intezaar ki nazar se nazar ko tarasogi
kabhi ho sake to ek muththi dhup is band kamare me le ana
maine kuch khawabo se.........................................................................................
ye sukh hain dukh hain ya dard hain apane ghar me raho zara chain se baitho
kahan chain hain jab ghar me hota hu
to teri yaadein mujhe akela nahi karti
jab ghar se nikalta hu to har jagah tujhe dhundhata rahta hu
har gali mohalle se jab guzarta hu logo se tere bare me puchata rahta hu
kahan chain milata hain chain milata nahi aajkal
vo dil dimag dono aap hi ke pahlu me rahta hain
hum ghar se nikale to bahak jayenge
vo hume kahan dhundhenge hum kahan jayenge
kyu likhate ho mera naam tum pani par
likhate likhate tumhare haath thak jayenge
ye pani ke bulbule thi aur ek din pani ke bulbule hi rah jayenge

No comments: