Friday, February 29, 2008

19th febuary Closing poem- gulabi khat

to download this poem in Ankit's own voice :- http://rapidshare.com/files/93531375/19febclosing_poem_RJ_ANKIT.wav.html
Lyric :-
barso baad aaj vo muqam aya hain
gulabi ek khat aaj mere naam aya hain
barso baad aaj vo muqam aya hain
gulabi ek khat aaj mere naam aya hain
yun khushbu se mahka diya vajood ko mere
veerane me jaise koi gulab khil aya hain
yun laga vo nasheeli likhavat dekhakar
kore kagaz ko kisi ne jaam pilaya hain
baste the jo har pal meri saanso me
shayad sadiyo baad aaj unka paigam aya hain
bata na saka jo apani beinteha mohabbat
bata na saka jo apani beinteha mohabbat
har vo kissa aaj unhone gin ke bataya hain
nazare bichaye rakhana hamare intezaar me
nazare bichaye rakhana hamare intezaar me
shararti andaaz me unhone ye farmaan bhijwaya hain
par shayad kismat ko manzur na thi muskurahat meri
lakeero me jaise ek mahal banaya hain
ban sakta tha kabhi zindagi meri
usane ek khat bhejkar apani mohabbat ko pyaar samjhaya hain
pichale kai dino se bas usane har baat par yahi kahlwaya hain
kya fayada kyu sochate ho kya hoga hamara
ye dil hain dil ki baato ko bhala kaun samajh paya hain

No comments: