Friday, February 29, 2008

18th febuary opening poem - koshish

Link to download this poem in Ankit's voice :-http://rapidshare.com/files/93525782/18thfeb_opening_poem_RJ_ANKIT.wav.html
LYRIC:-
hum mohabbat karte hain vo kahte hain karte raho tum
hum tumape marte hain vo kahte hain marte raho tum
mujhe pyaar karte ho karte raho tum
par kabhi jatane ki koshish na karna
mujhe pyaar karte ho karte raho tum
par kabhi jatane ki koshish na karna
main to khushbu hoon mujhako mahsus karna
kabhi mujhako pane ki koshish na karna
ye aankhein bahut dur tak dekhati hain
haqiqat ko janti hain achchi tarah
ye aankhein bahut dur tak dekhati hain
haqiqat ko janti hain achchi tarah
mujhe leke jo sapane bunate ho zarur bunana
magar unhe kabhi sach banane ki koshish na karna
ye mana bahut dur hain manzil meri
ye mana bahut dur hain manzil meri
magar mujhako vaha tanha nahi jana hain
gadi do gadi to sab sath chalte hain
umra bhar mere sath chalo aisi koshish na karna
jo hans lu to kya jo rolu to kya hain
main jo hans lu to kya main jo rolu to kya hain
ye hansana bhi pani hain ye rona bhi pani hain
ab is dil ko kahan kuch lubhata hain
is paththar ko galane ki koshish na karna
mujhase hi se churakar ke meri adaye
mujhase hi se churakar ke meri adaye
mujhe hi satate ho tum meri tarah
satana hain to zindagi bhar satana
thode din satane ki koshish na karna
suna tha pyaar kabhi marta nahi
suna tha ki ye pyaar kabhi marta nahi
magar hume tum azzamane ki koshish na karna
jo pyaar kabhi marta nahi to jata kahan hain
jo ye pyaar kabhi marta nahi to jata kahan hain
yahan hain vaha hain ye sachmuch kahan hain
ye is mohabbat ke farishte ko batane ki koshish na karna
hum to tere the tere hain aur tere hi rahenge
hum to tere the tere hain aur tere hi rahenge
humase hath chhudane ki koshish na karna
hum mohabbat karte hain vo kahte hain karte raho tum
hum tumape marte hain vo kahte hain marte raho tum

No comments: