Friday, February 29, 2008

5th febuary opening poem - kareeb

here is the link of an extremely romantic poem .Here is the link from which u can download this poem in his own voice :- http://rapidshare.com/files/89337959/opening_poem_5_feb_-_RJ_ANKIT.wav.html
if u want the lyric only than here it is :-
jab vo mere kareeb se hans kar guzar gaye
jab vo mere kareeb se hans kar guzar gaye
mere kuch khas dosto ke chehare utar gaye
vo hans diye to shaam sanwarti chali gayi
vo hans diye to shaam sanwarti chali gayi
jab julfe kholi usane to ujale nikhar gaye
afsos unaki aankhon me dubane ki tamanna bas tamanna rah gayi
afsos unaki aankhon me dubane ki tamanna bas tamanna rah gayi
kya baat kare kya dekhe kya soche
bas itane me vo mere paas se guzar gaye
jab vo mere kareeb se hans kar guzar gayena jane kyu mere dosto ke chehare utar gaye
manzil ye puchati hain ki sathi kidhar gaye
manzil ye puchati hain ki sathi kidhar gaye
halanki unako dekhane ko jo palati thi nazar
magar na jane hawao ke sath vo jane kidhar nikal gaye
unako dhundhane me lag gayi sari fizaye
naam bhi na batana chahti thi vo chalati hawaye
unako dhundhane me lag gayi sari fizaye
naam bhi na batana chahti thi vo chalati hawaye
hamane pucha mohabbat kya hain
phoolon ki mutthi me kaid vo sugandh kya hain
hans diye aur ithala ke na jane kahan chal diye
vo ghataye vo fuhare hum vo sard hawao me roz tahalna bhul gaye
barish me sath bheegane ki lalak bhul gaye
aus kuch aisi giri ab dil ki zameen par
ki shayad ab vo hamara naam pata tak bhul gaye
kuch panchiyo ko zarur humane unake ghar jane ka pata banaya tha
kuch panchiyo ko usi ke liye to humane apana dost banaya tha
par kambakht vo panchi jab unase mile to khud apana pata bhul gaye
jab vo mere kareeb se hans kar guzar gaye mere kuch khas dosto ke chehare utar gaye

No comments: