Link to download this poem in Ankit's voice :-http://rapidshare.com/files/93535904/20_feb_closing_poem_RJ_ANKIT.wav.html
LYRIC:-
mere seene par rakhkar vo sar sota raha
jane kya baat thi usame main jagata raha vo rota raha
ek chota sa badal ka tukada mere sar se hota hua
hawao k sath na jane kaha udata raha
shayad bojh ek dil par rakha tha
jise main har saans ke sath dhota raha
kabhi pani kabhi aansu kabhi sapane se
kabhi pani kabhi aansu kabhi sapane se
ek vahi tha jisake sath main sapano ki tarah hota raha
hawao ke sath jo dekhate hi dekhate badal gaya
hawao ke sath jo dekhate hi dekhate badal gaya
yun zindagi bhar mohabbat ka naam lekar main jeeta raha
vo mujhe chhodkar jeeta raha
rone walo ne utha rakha tha ghar sar par
kuch rone walo ne utha rakha tha sar ghar par
magar jagne walo me na jane kaun kahin khota raha
meri pareshani dekhakar vo kahin bhi ho mere paas chala ata tha
meri pareshani dekhakar vo kahin bhi ho mere paas chala ata tha
ab mujhe pareshaan kar na jane kahan vo khota raha
raat ki palko pe taro ki tarah jaga diya jisane
ek aus ki bund ki tarah phoolo par chip kar vo baitha raha
roshani ko rang laga gayi ye holi
roshani ko rang laga gayi ye holi
deewali ke din mere dil me andhera badhata raha
na jane kaun tha vo
main rota raha vo na jane kahan baithkar sota raha
jane kya baat thi main usaki har baat aaj bhi yaad karta rahta hu
har saans ke sath use miss karta rahta hu
na jane vo kaun tha jo mere paas se hokar guzar gaya
magar na jane kahan jakar mujhe bhul kar vo khota raha
No comments:
Post a Comment