Friday, February 29, 2008

29th febuary opening poem - jhonka

Link to download this poem in Ankit's own voice :- http://rapidshare.com/files/95947625/29_feb1.wav.html
LYRICS :-
na din hota hain na raat
na jane vo kaun sa mausam ka jhonka aya
jo is deewar pe tangi tasveer ko tedha kar gaya
hava chali shayad aandhi thi
phir ek awaz ayi dekha to kuch patte jhad chuke the
vo jadu tha tanhayee ke gulabi phoolon ka
guldasta banane aya tha
kise pata tha sukhe patte phool nahi dete
na jane vo kaunsa mausam ka jhonka tha
roka to tha dur tak awaz bhi lagayi
roka to tha humane dur tak awaz bhi lagayi
par ye hava kisaki sang thi
na naam pucha na pata chal di jaha taha
shayad kuch patte girane the phool khilane the
intezaar to maine bhi bahut kiya par ye barish nahi ayi
bijali girane ki awaz to ayi par ye barish nahi ayi
ayi barish to shayad kahin aur shayad vo kisi aur ka desh tha
na jane vo kisaka bhes tha
phir achanak kisi ne darwaja khatkhataya
ummeed jagi kahin vo to nahi
lekin kya itni raat gaye nahi nahi
shayad vo hava ka jhonka hoga jo rasta bhatak gaya hoga
dhatt yaha to koi nahi hava hi hain
jise shayad aaj bhi meri yaad ayi hogi
jana hoga kahin aur mujhase milkar jane wali hogi
tabhi raat barish to zarur kahin ayi hogi
kahin kisi ka kajal to zarur baha hoga
par ye ye bunde bhi kahan kisaki jagir hain
par ye bunde bhi kahan kisaki jagir hain
jab jee chahta hain chali ati hain
jab jee chahta hain nahi ati
hava me saundhi saundhi khushbu si thi
lagta hain aaspaas kahin sawan aya tha
hava me saundhi saundhi khushbu si thi
lagta hain aaspaas kahin sawan aya tha
nazare ghuma kar dekha to bas lehar hi lahar thi
jo na jane kisaki mehak baanhon me liye bas vahi ghum rahi thi
jadu me kahin to kahin taro me tum nazar ate ho
jab bhi chand ke sath kisi tare ke paas dubak kar baith jate ho
vo bhanware na jane kahan kho gaye
vo khushbu na jane kahan chali gayi
magar haan shayad kal raat ek jhonka zarur aya tha
vo mausam vo tukada badal ka jarur yahin se hokar aya tha

No comments: