Friday, February 29, 2008

28th febuary opening poem - ek paigaam

link to dowload this poem in Ankit's own voice :- http://rapidshare.com/files/95898490/28th_febuary_opening_poem.wav.html
LYRICS :-
aaj ye kiska paigam mere naam aya hain
ek khat benaam sa mere naam aya hain
aaj ye kiska paigam mere naam aya hain
ek khat benaam sa mere naam aya hain
likhavat bhi jani si hain bahut pehchani si hain
likhavat bhi jani si hain bahut pehchani si hain
shayad ye kisi ke dil ki hasarat ka ek jaam aya hain
tere har andaaz aur sitam ko jeetna janta hu main
tere har andaaz aur sitam ko jeetna janta hu main
mujhe satane ke liye tera naya bahana mere ghar tak aya hain
aaj ye kisaka paigam mere naam aya hain
ek khat benaam sa mere naam aya hain
intezaar me kaat di jinake humane apani zindagi
intezaar me kaat di humane jinake apani zindagi
vo ana mere paas unka ek band lifafe me
vo ana mere paas unka ek band lifafe me
waah dil lubhane ka ek naya andaaz laya hain
aaj ye kisaka paigaam mere naam aya hain
tumhare khat me vo aakhiri naam kiska tha
tumhare khat me vo aakhiri naam kiska tha
berukhi se kat gaya tha
bas us kate hue naam ka ilzaam hamare sar aya hain
aaj ye kisaka paigaam mere naam aya hain
tumhare shabdo ne baya kar di tumhari haqiqat
tumhare shabdo ne baya kar di tumhari haqiqat
bas yahi ki aaj mohabbat ko mohabbat ka naam yaad aya hain

No comments: