Friday, February 29, 2008

26th febuary opening poem - achcha laga

Link to download in Ankit's voice :- http://rapidshare.com/files/95883121/26th_febuary_opening_poem_RJ_ANKIT.wav.html
LYRIC :-
tumako na chahte hue bhi bhul jana achcha laga
aansuo ko chupakar muskurana achcha laga
tumako na chahte hue bhi bhul jana achcha laga
aansuo ko chupakar muskurana achcha laga
sab ajnabi the mere liye magar tujhe apna jaan kar achcha laga
pehchaan to ek pal ki thi magar sadiyo se purana rishta bana achcha laga
mere har khwab me yaadon me bas tum hi tum the
kisi aur ko bhulakar tumhe yaad karna achcha laga
meri ruh ka ek hissa the magar tum
meri ruh ka ek hissa the magar khuda se tujhe jyada jankar achcha laga
meri zindagi se bahut kuch liya zindagi ne
meri zindagi se bahut kuch liya zindagi ne
magar mujhe tumako dena achcha laga
mere armaano ka sawan tha
mere armaano ka sawan tha
magar tum par barsana is badal ko achcha laga
meri khushiyo ka jaha tha
meri khushiyo ka jaha tha
magar har roz har baat par tumhe pareshaan karna achcha laga
likhe the ret par kai naam tere jane ke baad
humane likhe the kai naam ret par tere jane ke baad
bas unhe ek tak dekhana achcha laga
khud ko bhul jana aur tujhako yaad karna achcha laga
tu balcony me khade hokar mera intezaar karti hain
jab bhi tu balcony me khade hokar mera intezaar karti hain
bas mera tere paas se guzar jana achcha laga
mere liye paise bachakar ek naya kurta lana achcha laga
sabake na karne par bhi mujhase pyaar karna achcha laga
teri ankhon ki hilati putliyo me ubharta raha ek chehra
teri ankhon ki hilati putliyo me ubharta raha ek chehra
har pal us chehare pe mera naam achcha laga
tujhako na chahte bhi dil me basana achcha laga

No comments: