Friday, February 29, 2008

15 th febuary closing poem - a wish

Link to download this poem in Ankit's voice:- http://rapidshare.com/files/92128419/15feb_closing_poem-RJ_ANKIT.wav.html
LYRIC :-
deewaro par ye jo tange hue hain
ye khwab kisake rang me range hue hain
abhi to tumane badali hain karvat
fir kyun ye adhkhule khwab wahi ruke hue hain
dil ke raaz ki kisase kare hum shiqayat
hum to janate hain hum is dil se thage hue hain
kehane ko to bahut hain is shehar me
par sab na jane kyun khoye khoye hain is sehar me
jis subah mere hotho par apaka naam na aye
khuda ki kasam aisi subah khuda mujhako na dikhaye
zindagi bhar aisa ho ki apase pehale meri aankh khul jaye
aap pyari si neend me ho
ek button se bas apana radio on kare
aur meri ye awaz apake kano me aye
aur puri zindagi apako apaki band palako se uthane ka
ye mauka suraj sirf mere liye laye

No comments: