On 4 th feb (world cancer day) Ankit closed the show wd this poem well just click any link from these from where u can download this poem in ankit's voice
http://rapidshare.com/files/89331177/4th_febuary_poem-tujhase_aye_zindagi_RJ_ANKIT.wav.html
and
http://rapidshare.com/files/89336129/4th_febuary_poem-tujhase_aye_zindagi_RJ_ANKIT.wav.html
and if u just need the lyric than here it is :-
bahut pehale se unake kadamo ki aahat hum pehchaan lete hain
bahut pehale se hum unake kadamo ki aahat pehchaan lete hain
tujhe aye zindagi hum bahut dur se jaan lete hain
kabhi bahut hansati hain kabhi bahut dukh pahunchati hain
par aye mohabbat par aye meri mohabbat tere age to ye zindagi bhi sar jukati hain
tabiyat apani ghabarati hain sunsaan rato me
jab tabiyat apani ghabarati hain sunsaan rato me
hum aise me teri yaado ki chadar bas apane chehare pe taan lete hain
khud apana faisala bhi ishq me kafi nahi hota
ye tujhase milane ke baad hum aaj subah jaan lete hain
log jise surat batate hain vo pata hain teri seerat ka
hum tujhase milkar tujhase mile bina hi tere bare me har baat jaan lete hain
hamari nazar zarur roz idhar udhar jati hain
hamari nazar zarur roz idhar udhar jati hain
na jane kitani pariyo se takrati hain
zarur ye jayegi idhar udhar
magar kisi par bhi ruk na sakegi
zarur hogi baatein bahoto se magar magar mohabbat ki baatein kisi se kar na sakegi
is mike ke samane sar jhuka kar ye vishwas dete hain
is mike ke samane hum sar jhuka kar ye vishwas dete hain
bas mohabbat hain tujhase
sirf tujhase hi mohabbat lete hain
tabhi to sare udaipur ko us mohabbat ka ek ansh dete hain
No comments:
Post a Comment