Link to download this poem in Ankit's voice :-http://rapidshare.com/files/95889382/27_feb_closing_poem.wav.html
Lyric:-
ye pal hi to hain jo kabhi paas nahi rahte
ye pal khushiyo ka anmol khazana
ye pal khushi se kar de deewana
ye pal isko jhapat lu main
ye pal inko samet lu main
ye pal sadiya samaye hain jisame
ye pal sari khudayi hain jisame
is pal ko sambhalu main kaise
is pal ko sambhalu main kaise
is pal ko kaise main mahsus karu
itni khushiya is ik pal main
in khushiyo ke liye kitne janam aur lu
band kar lu in palo ko kahin tale me
rakhkar bhul jau tale ki chabi main
aankhein kholu aankhein band karu
bas in palo se roz mukhatib hou
is pal ke ujale se andhera mit jata hain
jab andhera hota hain
to aap jaisa koi khubsurat hume bhi yaad ata hain
zindagi kya hain socho to
bahut sari udasi bahut sari pareshaniyo ka naam
magar jab aap ho hamare paas to dil ko har pal aaram
ye pal sunhare se lagte hain
kisi ke khubsurat lambe baalo se nazar ate hain
kabhi yahi pal haseen ho jate hain
kisi ki yaadon me hum ab kabhi kabhi nazar ate hain
ye pal jane fir kab laut kar aayenge
ye pal fir se kab ghadi ki suiyo me subah ki 7 bajayenge
ye pal ab motiyo se bas sambhal lo inko
ye pal hain un motiyo ki mala ke
zara piro lo inko
ye pal zindagi ke haseen khazane se lagte hain
aap apani aankhen jhapkate hain
meri aankhon me roz chalte hain
chalo in palo ko hum milkar mahsus kare
aur milkar kare intezaar ek nayi subah ka
No comments:
Post a Comment