Friday, February 29, 2008

9 th febuary opening poem - Kaash ya haqiqat

Link to download in Ankit's voice :- http://rapidshare.com/files/91977661/9feb_poem.wav.html
Lyric :-
sochata hu ki kash kuch aisa hota
sab kuch vaisa hota jaisa main chahu bas vaisa hota
sochata hu ki kash kuch aisa hota
sab kuch jaisa main chahu vaisa hota
jab man me koi khwaish hoti palak jhapakate hi puri hoti
jab man me koi khwaish hoti to palak jhapakate hi puri hoti
na karna padta mujhe kisi se izhaar aur na hota meri zindagi me ye intezaar
lekin kya main sach main khush hota
agar mil jati asani se safalta
lekin kya main sach main khush hota
agar mil jati asani se safalta
kabhi kabhi thik hain anjane safalta pana
bina mehnat kiye hi khushiyo ka mere ghar chale ana
kabhi kabhi thik hain anjane safalta pana
bina mehnat kiye hi khushiyo ka mere ghar chale ana
man shayad fir khud ko roz dhikkarta
choti choti si bato par naraz sa ho jata ye man
shayad khud ko roz dhikkarta choti choti bato par naraz sa ho jata
apane hatho payi choti cheez bahut badi si hoti hain
apane hatho payi choti si cheez bahut badi si hoti hain
par ye sach hain mohabbat ke bina zindagi adhuri si hoti hain
is kaash se hi to kabhi zindagi ulajhati hain
aur is kash se hi to meri raahe sulajhati hain
is kaash se hi to meri zindagi ulajhati hain
aur is kash se hi to meri raahe sulajhati hain
kash nahi kehana chahta main kabhi fir kyu har sapna kash ho jata hain
aankh khulate hi na jane kahan kho jata hain
kal raat sach me maine kisi ko dekha apane sapane me
kal raat sach me maine kisi ko dekha apane sapane me
naam kya lu kya pata bahut khubsurat hain vo
hain vo mere apano me mujhe rota sun mere aansu samajh jata hain
mujhe rota sun vo mere aansu samajh jata hain
kabhi kabhi khud chal mujhe chup karane khud chal ke ata hain
vo kash nahi vo haqiqat hain
shayad zindagi ki zarurat hain
aapko bhi mile apaka har sapna
bas aaj ki saturday morning yahi kehta Ankit apna

No comments: