Monday, March 31, 2008

31st march closing poem

opening and closingf was same today (31-8-1008)
Link :- http://rapidshare.com/files/103804236/31_march_closing_poem.wav.html
Lyric :-
Ek roz dahliz se apani main uth ke chala tha
ki dahliz se apani main uth ke chala tha
ki socha tha unase mulaqat hogi
dagmagate hue tanha panv se chalkar aaj unase baat hogi
main mahbub ke paas badha ja raha tha
socha ye dil ki uljhan hay ye badi tadpan
barf sa hua main bas chala ja raha tha
tasveer usaki dekhkar main badha ja raha tha
diye waqt se kai ghante pehale vaha ja pahuncha
ki diye waqt se kai ghante pehale vaha ja pahuncha tha
intezaar hota nahi ek pal bhi bas intezaar us pal ka ho raha tha
vo jo shayad aaj humase milane wali thi
shayd usase akhiri mulaqat thi
kaash kaash dil vo sab kuch kahde jo kayi saalo se kahne ki baat thi
achanak aakhon ke age se ye parda sarka
seene me chupa na jane kiska dil badi zor se dhadka
vo jo aa gayi thi
mausam me rangeeni si cha gayi thi
par vo akele kahan ayi thi
ek farmaan apane sath layi thi
par vo akele kahan ayi thi
ek farmaan apane sath layi thi
meri shaadi tay ho gayi hain
ab hum kabhi nahi mil sakenge
sath marne ka to pata nahi
bas ab sirf akele ji sakengea
kayi ghante tak mere kandhe par sar rakhkar vo roti rahi
main use chup karata raha vo bas roti rahi
kuch pal baad vo pal bhi beet gaya
aur ye waqt ek baar phir Ankit se jeet gaya
aaj sochata kaash usake sath us din main bhi ro leta
aaj sochata kaash usake sath us din main bhi ro leta
na jane kitane saal se jaag raha hu kaash main bhi so leta
dahliz se apani uth ke jab bhi chalta hu
sach kahu waqt koi bhi ho bas use hi yaad karta hu

31 st march opening poem

Link :- http://rapidshare.com/files/103803852/31_march_opening_poem.wav.html
Lyric :-
Ek roz dahliz se apani main uth ke chala
ki socha tha unase mulaqat hogi
Ek roz dahliz se apani main uth ke chala tha
ki socha tha unase mulaqat hogi
dagmagate hue tanha panv se chalkar aaj unase baat hogi
main mahbub ke paas jane ko bas badha ja raha tha
socha ye dil ki uljhan hay ye kaisi tadpan
socha ye dil ki uljhan hay kaisi tadpan
barf sa hua main bas chala ja raha tha
tasveer usaki hath me lekar main bas main badha ja raha tha
diye waqt se kai ghante pehale vaha ja pahuncha
ki diye waqt se kai ghante pehale vaha ja pahuncha tha
intezaar hota nahi ek pal bhi par intezaar us pal ka ho raha tha
vo jo shayad aaj usase akhiri mulaqat thi
kaash kaash dil vo kahde jo itne saalo se ankahi si baat thi
achanak aakhon ke age se ye parda sarka
seene me chupa ek dil badi zor se dhadka
vo jo aa gayi thi
mausam me rangeeni si cha gayi thi
par vo akeli kahan ayi thi
ki par vo akeli kahan ayi thi
ek farmaan apane sath layi thi
meri shaadi tay ho gayi hain
hum ab kabhi nahi mil sakenge
sath marne ka to pata nahi par ab hamesha akele ji sakenge
akyi ghanto tak mere kandhe par sar rakhkar vo roti rahi
main use chup karata raha vo bas roti rahi
kuch pal baad
vo pal bhi beet gaya
aur ye waqt hamesh ki tarah ek baar phir mujhase jeet gaya
aaj sochata hu
aaj sochata hu kaash usake sath us din main bhi ro leta
kayi saal chain se soya nahi
shayad ro leta to chain se so leta
dahliz se apani uth ke jab bhi chalta hu
sach kahu waqt koi bhi ho bas tujhe yaad karta hu
tujhe yaad karta hu

30 th march - sundayyyyyyyyyyy

sunday ke show par Ankit poem nahi padhata

29 th march closing poem

Link :- http://rapidshare.com/files/103802037/29_march_closing_poem.wav.html
Lyric :-
jab bhi hote hain aajkal kisi se baat
sochata hu yahi ki kyun hain aajkal aise mere dil ke halat
hath do pair do aankhe bhi do hoti
haath do pair do aur aankhein bhi hoti hain do
bhagwan ko kya sujhi ki jab sab cheeze banayi do
to fir dil ek kyo banaya
banaya so banaya kyon usame pyaar ka ahsaas jagaya
do anjaane log anjaane kono me rahte hain
do anjaane log anjaane kono me rahte hain
sirf is dil ki vajah se ek duje ke aas paas rahte hain
ek ho jaye udaas to duja bhi udaas sa rahta hain
jaan dono ki nikalti hain ek duje ke bina
juban khamosh par ye dil hi sabkuch kahta hain
kaash ya to do char dil bana deta khuda
kaash ya to do char dil bana deta khuda
ya fir dil hi na banata
har insaan shayad fir tarakki hi tarakki karta jata
gadi bunglow paisa ye sab to shayad zarur hota
par aansu kisi ke liye apani aankhon me na samajh pata
na jagta kisi ke liye na ret par mahal banata
na chand mohabbat karta na tare ginkar raat bitata
na ahsaas hota kisi ki bhukh kana kisi ki takleef ko na jaan pata
chalo achcha hi hua khuda ne sab kuch soch samajhkar banaya
hum jaiso ke seene me ek hi dil lagaya
aap sabhi apne dil se bahut khush honge
par Ankit ko na jane ya dil lagaya
par Ankit ko na jane ye kaunsa dil lagaya
haan udaipur ye dil hain apaka
jo meri awaz ke sath apake seene me utar aya

29 th march opening poem

Link :- http://rapidshare.com/files/103799935/29_march_opening_poem.wav.html
Lyric :-
kitane haseen chand nakabo me band hain
na jane kitane purane khat aajkal meri kitabo me band hain
kitane haseen chand nakabo me band hain
aur na jane kitane purane khat aajkal meri kitabo me band hain
mohabbat me hum janate hain kyu laila manjhanu ne jaan di
mohabbat to sach me aajkal unhi ki kabro me band hain
khushbu ke kafile to aajkal gulabo me band hain
aur vo gulab shayad kuch sikh se gaye hain
isiliye aajkal vo meri kitabo me band hain
roz raat taaro ko kya dekhate ho
ki roz raat taaro ko kya dekhate ho
un haseen taaro se puch lo
kitane hi mohabbat ke kisse aajkal usaki roshani me band hain
hume ab tak kisi haseen ka lifafa nahi mila
hume ab tak kisi haseen ka lifafa nahi mila
na jane kitane unsulajhe jawab us lifafe me band hain
roshan hua hain chand ye
roshan hua hain chand ye
jaise kal raat se hi
mere dil ki roshani aajkal chand ki muskaan me band hain
mere humdum
mere humdum mujhe rok na safar ke is bhanvar me
meri manzil aajkal teri ek muskaan me band hain
bahut socha ki kyun aajkal meri soch band hain
humane bohat socha ki kyun aajkal meri soch band hain
hawao ka rukh jharano ki awaz band hain
kyun parindo ki udaan band hain
kyu dil ki dhadkane band hain
pata chala ek tala lagaya tha ahsaaso ka
pata chala ek tala lagaya tha ahsaaso ka
kisi ne mere dil par
aajkal usaki chabi gum hain
bas tabhi se ye saans bhi ruk ruk ke soch soch ke ati hain
shayad aajkal kisi ke pahlu me band hain
na jane kitane haseen chand ab bhi angdayi lete hue razai me band hain

28 th march closing poem

Link :- http://rapidshare.com/files/103798885/28_march_closing_poem.wav.html
Lyric :-
roz meri dhadkane chand ke ane ka intezaar karti hain
roz meri dhadkane chand ke ane ka intezaar karti hain
janti hain vo vo chand mera nahi phir bhi usi se pyaar karti hain
kal chand par jab meri nazar gayi kuch chup chup sa nazar aya
kuch badal me chupa kuch badal se khafa khafa sa nazar aya
aise chup kar dekh raha tha mujhako
aise chup kar dekh raha tha mujhako
jaise chunni se tum chupchupkar dekhati ho mujhako
gussa hoti ho to dur baith jato ho
gussa hoti ho to dur baith jato ho
neechi nigahe karke phir bhi awaz meri hi sunati jati ho
kambakht ye gusse ki kashmakash chal hi rahi thi kina jane kahan se vo barish aa gayi
hay soundhi soundhi mitti ki khushbu tumhari choti se ati khushbu ko la gayi
ab kya kahu us chand ko to bachpan se ek hi rang ki roshni me dekhata aya hu
par tum par to vo har rang ki saree kamal lagti hain
bas barish ke ate hi vo purani vo bahut purani yaadein
dono ke gusse ke beech phir se taza ho gayi
bunde to bahar giri par dil ki zameen tere pyaar se tarho gayi
maine tumhe muskura kar dekha aur tera gussa na jane kahan kafur ho gaya
maine tumhe muskura kar dekha aur tera gussa na jane kahan kafur ho gaya
aur sach kahu mujhe tere gusse se pyaar ho gaya

28 th march opening poem

Link :- http://rapidshare.com/files/103797221/28_march_opening_poem.wav.html
Lyric :-
ki aya hi nahi humako ahista se tere paas se guzar jana
ki aya hi nahi humako ahista se tere paas se guzar jana
sheeshe ka to muqaddar hain takrake bas yunhi bikhar jana
har raat ki tarah mohabbat ka taaro me chale ana
ki har raat ki tarah mohabbat ka taaro me chale ana
ahat na ho kadamo ki chand ka aise chahalkadami kar
khidaki se jhank kar mere paas me aa jana
hume nashe me sambhlane ka fan yunhi nahi ata
hume nashe me sambhlane ka fan yunhi nahi ata
humane un khuli julfo se seekha hain
hawao ka paas se chukar jana
bhar jayenge aankhon me yaado se bandhe badal
ki bhar jayenge aankhon me yaado se bandhe badal
yaad ayega jab tera sadagi se kisi ko maar jana
har mod par teri aankhein humase bas yahi kahti nazar ati hain
ki har mod par teri aankhein humase bas yahi kahti nazar ati hain
jaise bhi ho laut ke shaam ko jaldi ghar ana
ye chand sitare tum auro ke liye rakh lo
ki ye chand sitare tum auro ke liye rakh lo
humako to roshni deta hain teri gali ka vo aakhiri kinara
ki humako to roshni deta hain teri gali ka vo aakhiri kinara
jahan ki kone wali khidaki se hain
chand sitaro ka aaj bhi ana jana
jab tut gaya ek ped kahin pahad par
jab tut gaya ek ped kahin pahad par
tab hawao ne jana ki kahan se hain ana kahan hain nahi ana jana
tab kaha mohabbat ne ki galatiyo ki samjhaish na ho
tab kaha mohabbat ne ki galatiyo ki samjhaish na ho
mohabbat me dil ki galatiyo ka humase lagta hain rishta purana
aya hi nahi humako tere paas se guzar jana
sheeshe ka muqaddar takra ke bas yunhi bikhar jana

27 th march closing poem

Link :- http://rapidshare.com/files/103794765/27_march_closing_poem.wav.html
Lyric :-
kab tak tum mere dil ki khair manaoge
kab tak mujhe raah dikhaoge
badal ko pyaar se dekhoge mere dil par apna pyaar barsaoge
tum sajo sanwaro to khubsurat lago duniya ko
hamara katl to apani sadagi se hi kar jaoge
khushbu t eri ab bhi meri us purani kameez se ati hain
ki khushbu t eri ab bhi meri us purani kameez se ati hain
akelapan to mera chin hi liya tumane
phir kyu ye duniya mujhe badi chup chup si nazar ati hain
tum waqt par phone karna apana dhyan rakhna
khane peene me kuch utpatang na kha lena
hum to sari duniya ki baat kahan manate the
shayad apane sath sath ye duniya bhi
humase unke dil ki baat manvayegi
vo tera tulasi maa ko apani maa ki tarah pujna
hay vo teri sadagi aur meri har pareshani se tera
din raat jhunjhana
sab kuch akele hi sulajha dena
sab kuch akele hi sulajha dena
chupchup si rahkar mujhe uljha dena
tumhari yaado ke jab kakhm bharane lagte hain
kisi na kisi bahane hum tumhe phir yaad karne lagte hain
hume har ajnabi marham dikhayi deta hain
jo bhi teri gali se gujarta hain
suno tumane usako dekha
kaisi hain vo
kya pahna tha usane
nas inhi sawalo se ye dil girane lagta hain
tu to vahi chat par khadi rahti hain
par hum bas teri tasveer apani bike pe lagakar chalte jate hain
chalte jate hain
par speed ke kante to bahut hain meri bike me
par jaise hi teri gali me ate hain
na jane vo kante kyu bahut dheere ho jate hain
haan mohabbat mohabbat ho meri
dil karta hain dil se chahe tujhe
tujhape bas apani jaan se jyada marte jate hain
kab tak mere dil ki khair manaoge
kab tak mujhe raah dikhaoge

26 th march closing poem - poem number 1

Link :- http://rapidshare.com/files/103792566/26_march_closing_poem.wav.html
Lyric :-
kal thakan bahut thi aankhon me
par neend nahi thi aankhon me
kal thakan bahut thi aankhon me
par neend nahi thi aankhon me
meri chappal pehankar na jane vo neend kahan chali gayi thi
khidki ke paas khade hokar dekha to paya neend ko mohabbat ke sath
ki khidki ke paas khade hokar dekha to paya neend ko mohabbat ke sath
bada ajeeb lag raha tha do kinaro ko dekhna ekdum paas paas
ek bade bargad ke neeche khade dono batiya rahe the
ek bade bargad ke neeche khade dono batiya rahe the
mohabbat ki vajah se neend nahi ati
ya neend ud jati hain jab mohabbat ho jati hain
yahi phalsafa ek sareke kandhe pe sar rakhkar farma rahe the
main chupchap khidki se un dono ko dekhata raha
aur apani mohabbat ke bare me bahut kuch sochata raha
vo chaar late baalo ki
vo chaar late baalo ki jab ati thi usake galo pe
haan mohabbat ko bhi ishq ho jata tha usake baalo se
vo usaki hansi hans ke jab vo dahini taraf dekhti thi
vo usaki hansi hans ke jab vo dahini taraf dekhti thi
sach kahu na kahu hay bahut kamal lagti thi
vo pink suit vo bahut si chudiya
vo pink suit vo bahut si chudiya
hatho me mehandi uska palko se bolna
kah jana puri duniya ki baato ko apne hotho me
kah jana puri duniya ki baato hotho se
bas mere puchane par kabhi apana muh na kholna
mere likhe khat ab tak use naye se lagte hain
mere likhe khat ab tak use naye se lagte hain
tabhi to usaki rack me aaj bhi kitabo ke sath sajate hain
main roz bahut si khushiya us khuda se usake liye mangata hu
par vo khushiya lauta deta hain mujhako
main janta hu ye kisaki karastani hain sab janta hu
tabhi to aye meri mohabbat bas ab mohabbat ko apna khuda manta hu
kal thakan bahut thi aankhon me par neend nahi thi aankhon me

26 th march opening poem

Link :- http://rapidshare.com/files/103790569/26_march_opening_poem.wav.html
Lyric :-
Suna hain ki aansu aur barish ka ek sa rishta hain
barish girane ke baad mitti me kho jati hain
aur aansuo ki barish bhi ane ke baad bas
yaadon ki mehak jagakar na jane kahan chali jati hain
har zarra barish me behata hain
har zarre pani hi rahta hain
har zarra barish me behata hain
har zarre pani hi rahta hain
par tumhari aankh se aansu ka girna tha
ki dil me dard sa bhar gaya
par tumhari aankh se aansu ka girna tha
ki dil me dard sa bhar gaya tha
roz intezaar rahta hain barish ka
par tere aansuo ko dekhane ke baad vo intezaar khatm sa ho gaya
har ped ab tak chup chup sa khada hain
tu dekh tere aansuo ko dekh kitna dara hain
har ped ab tak chup chup sa khada hain
tu dekh tere aansuo ko dekh kitna dara hain
tere aansu dekhane ke baad vo barish ka tukada jane kahan ja gira hain
bunde jab patto girati hain
tip tip karti jati hain
sach kahu raat jab tu roti hain teri sisakiyo ki awaz yahan tak ati hain
barish barasane se pehale sau baar ye sochati hain
ki kahin tu ro na rahi ho
pani barasane ke sath kisi ki yaad me kho na rahi ho
bahut samjhaya hain maine barish ko
ki bahut samjhaya hain maine barish ko
kaha tera barsana sirf pani hain
magar usaka rona mohabbat ki nishani hain
tu bas tera kaam kiye ja
mohabbat me aansuo ki barish me mera naam kiye ja
ki phir khidaki hatakar
ki phir khidaki hatakar bahar dekha
to bahar barish ho rahi thi
palke jhapkayi to paya
yahan bhi barish ho rahi thi
suna hain aansu aur barish ka ek sa rishta hain

25th march closing poem - poem number 2

Link to download this poem in mp3 format :- http://rapidshare.com/files/102219013/25_march_closing_poem.wav.html
Lyric :-
kahan milati hain khushiya malum nahi
chalo dhundhate hain aaj rah me chalte chalte
kahan milati hain khushiya malum nahi
chalo dhundhate hain aaj rah me chalte chalte
khwab se mulakat to bahut hui is sehar me
na jane kyu ye raat de gayi ek nayi subah yunhi dhalte dhalte
tum na aaya karoki tum na aaya karo pink suit me
hay mar hi jata hain koi parwana shama ke jalte jalte
na neend ati hain na khwab ate hain
jaan nikal si jati hain in tere chalte chalte
sochata hu na dekhunga tujhe ek pal ko
sochata hu na dekhunga aaj ek pal ko
par ye gustakh nigahe thahar jati hain usipe thahar jati hain chalte chalte
mere humsafar mere sath tum bhi mausamo me raha karo
mere humsafar mere sath tum bhi mausamo me raha karo
kabhi chand banke dikha karo kabhi taro me hansa karo
kabhi sanso me basa karo kabhi aansuo me raha karo
bas dur na mujhase jaya karo thak jata hu akela chalte chalte
kabhi koi aansu banke dua karo kabhi mera haunsala bana karo
kabhi intezaar bana karo kabhi mere sath chala karo
pareshan ho jata hu akela sochate sochate
kabhi barish me mila karo kabhi leharo pe baha karo
kabhi sahilo pe chala karo
kabhi humako aise hi jate jate aise bas yaad kiya karo
apani aankhon se aansu na bahaya karo

25 th march openinig poem

Link to download in mp3 format :- http://rapidshare.com/files/102217406/25_march_openinig_poem.wav.html
Lyric :-
kisane mujako saza di bata kaun hain
aye hawa tere ghar me chupa vo kaun hain
barisho me kisi ped ko dekhana
shawl odhe hue vo bhigata kaun hain
main yaha chav me khada hu magar
main yaha chav me khada hu magar
vo pasine se tarbatar dhup me mere liye khada kaun hain
aasmano ko humane bataya nahi dubati sham me dubata kaun hain
khushbuo me nahayi hui daliyo phoolon sa vo muskurata kaun hain
kisane mujako saza di bata kaun hain
dil ko paththar hue ek zamana hua
is dil ko paththar hue ek zamana hua
haan makan to bahut hain is shehar me
par waha bolta kaun hain
kisane kisako dil ki baat sunayi
jisane bhi sunayi hume aye mohabbat teri bahut yaad ayi
kahin koi hawa ka jhonka teri taraf se meri aur chala aye
ki kahin koi hawa ka jhonka teri taraf se meri aur chala aye
to lage jaise ki hawa ke sath tum chale aye
aakar batao koi tumako kahan aakar puakare
bheed me tanhayee me ya tab jab tumhe koi na pukare
hamesha kisi na kisi ke sath tumako dekha hain
kya kahe kya kahana kya na kahna
ye kisane mujhko saza di bata kaun hain
aye hawa ab to bata tere ghar me chupa kaun hain

24 th march closing poem - poem number 3

Link :- http://rapidshare.com/files/102211853/24_march_closing_poem.wav.html
Lyric :-
ek parchai mere paas se mujhe chukar chali gayi
kahin palke aus se dhul gayi
kahin lki kyari phoolon se bhar gayi
teri yaad solah singaar hain
jise tune chu diya
usaki zindagi sanwar gayi
mera shayarana sa andaaz bhi jise log kahte hain deewangi
teri adaon se meri deewanagi aur badh gayi
teri aarzu teri justjuteri aarzu teri justju me bhatak raha tha gali gali
meri kahani ek jharne ne suni
to usaki bhi zindagi badal gayi
unhi do gharo ke kareeb hi kahin ye aag leke hawa gayi
na kabhi tumhari nazar gayi na meri gayi
na gamo ka mere hisab le na gamo ka tere hisab de
na gamo ka mere hisab le na gamo ka tere hisab de
kisi ki yaad me ek raat guzar gayi to guzar gayi
par us raat us parchai ka aks na dekh paya main
chahkar bhi us parchai se kuch na puch paya main
usaki kahi kuch baatein usase vo chand palo ki mulakate
usase kahi vo kuch baatein usase vo chand palo ki mulakate
na jane kitne dino se raat chain se na so paya main
janta hu mujhe chahati hain vo man hi man
janta hu mujhe chahati hain vo man hi man
jaise main kisi se na kah paya vo kisi se na kah saki
bas usase milane ke baad apane sapne ke siwa
kisi aur ko na chah paya main
apani palko se adhkhuli neend me chehra sirf usaka
apani palko se adhkhuli neend me chehra sirf usaka
usaka chehra kyu us raat thik se na dekha paya main
shayad vo geet hain paheli hain gazal hain mohabbat hain
jo bhi hain aaj din tak zindagi me use thik se gunguna na paya
haan ek parchai mere paas se chukar chali gayi
kahin palke aus se bhigo gayi
kahin dil ki kyari phoolon se bhar gayi

24th march opening poem

Link :- http://rapidshare.com/files/103786709/24_march_opening_poem.wav.html
Lyric :-
roz meri dhadkane chand ke ane ka intezaar karti hain
janti hain vo vo chand mera nahi phir bhi usi se pyaar karti hain
kal chand par jab meri nazar gayi kuch chup chup sa nazar aya
kal chand par jab meri nazar gayi kuch chup chup sa nazar aya
kuch badalo me chupa kuch badalo se khafa khafa sa nazar aya
roz meri dhadkane phir bhi chand ke ane ka intezaar karti hain
aise chup kar dekh raha tha mujhako jaise
chunni se tum chupchupkar dekhati ho mujhako
aise chup kar dekh raha tha mujhako jaise
chunni se tum chupchupkar dekhati ho mujhako
gussa hoti ho
gussa hoti ho to dur baith jato ho
neechi nigahe karke phir bhi meri hi awaz sunati jati ho
gussa hoti ho to dur baith jato ho
neechi nigahe karke phir bhi meri hi awaz sunati jati ho
kambakht ye gusse ki kashmakash chal hi rahi thi ki
na jane kahan se vo barish aa gayi
kambakht ye gusse ki kashmakash chal hi rahi thi ki
na jane kahan se vo barish aa gayi
soundhi soundhi mitti ki khushbu
tumhari choti se ati khushbu ko la gayi
ab kya kahu us chand ko
bachpan se ek hi rang ki roshni me dekhata aya hu
ab kya kahu us chand ko
main bachpan se ek hi rang ki roshni me dekhata aya hu
tum par to vo har rang ki saree hay
shayad kamal lagti hain
bas barish ke ate hi vo purani yaadein
dono ke gusse ke beech phir se taza ho gayi
bunde to bahar giri par dil ki zameen tere pyaar se geeli ho gayi
maine muskura kar dekha
maine muskura kar dekha
aur tera gussa na jane kahan kafur ho gaya
aur hay kaise na pata humako tere us gusse se bhi pyaar ho gaya
roz meri dhadkane chand ke ane ka intezaar karti hain
janti hain vo vo chand mera nahi phir bhi usi se pyaar karti hain

Tuesday, March 25, 2008

22 march opening poem

Link :- http://rapidshare.com/files/102211688/24_march_opening_poem.wav.html
Lyric :-
roz meri dhadkane chand ke ane ka intezaar karti hain
janti hain vo vo chand mera nahi phir bhi usi se pyaar karti hain
kal chand par jab nazar gayi kuch chup chup sa nazar aya
kal jab chand par nazar gayi kuch chup chup sa nazar aya
kuch badalo me chupa kuch khafa khafa sa nazar aya
roz meri dhadkane phir bhi chand ke ane ka intezaar karti hain
aise chupkar dekh raha tha mujhako jaise chunni se tum chupchup kar dekhati ho mujhako
aise chupkar dekh raha tha mujhako jaise chunni se tum chupchup kar dekhati ho mujhako
gussa hoti ho to dur baith jati ho
gussa hoti ho to dur baith jati ho
neechi nigahe karke phir bhi meri hi awaz sunati jati ho
gussa hoti ho to dur baith jati ho
neechi nigahe karke phir bhi meri hi awaz sunati jati ho
kambakht ye gusse ki kashmakash chal hi rahi thi
ki na jane kahan se vo barish ho gayi
kambakht ye gusse ki kashmakash chal hi rahi thi
ki na jane kahan se vo barish ho gayi
saundhi saundhi mitti ki khushbu tumhari choti se ati khushbu ko la gayi
ab kya kahu us chand ko bachpan se ek hi rang ki roshni me dekhata aya hu
ab kya kahu us chand ko main bachpan se ek hi rang ki roshni me dekhata aya hu
par tum par to har rang ki saree hay shayad kamal lagti hain
bas barish ke ate hi vo purani yaadein dono ke gusse ke beech phir se taza ho gayi
bunde to bahar giri par dil ki zameen tere pyaar se geeli ho gayi
maine muskurakar dekha
maine muskurakar dekha aur tera gussa na jane kahan kafur ho gaya
aur hay kaise na pata humako tere us gusse se bhi pyaar ho gaya
roz meri dhadkane chand ke ane ka intezaar karti hain
janti hain vo chand mera nahi phir bhi usi se pyaar karti hain

22nd march closing poem

Link :- http://rapidshare.com/files/102208486/22_march_closing_poem.wav.html
Lyric :-
kisi ki yaad me palke zara bhigo lete
udas hota koi to usaki udasi leke hum ro lete
mohabbat ka safar akele nahi katata hain
mohabbat ka safar akele nahi katata hain
kahin hume vo milata to hum usase lipat kar ro lete
agar safar me hamara bhi koi hamsafar hotaagar safar me hamara bhi koi hamsafar hota
to shayad usake ghar samane bane chabutare par so lete
tumhari raho par hum apani palake
isilye aaj tyohaar ke din bhi udaipur bahut pyaar se baahein faila kar hum aapko bulate
ye zaruri nahi roz chand aye chandani ka bistar apane sath laye
ye zaruri nahi roz chand aye chandani ka bistar bhi sath laye
kabhi to dhup se bhi mohabbat hoti hain
kabhi dhup ke intezaar me ye aanhein nam hoti hain
khafa ho tum humase ye dil nahi kah raha
to palake uthao to sahi sanam dheere dheere
kyu tadapa rahe ho dil ko hamare
muskurao sanam par zara dheere dheere
ye kaliya ye bhanware ye titali ye sawanye kinare
ye jharne ye khushbu sab hain dost sirf mohabbat ke nazare
khud lut gaye hain sare
ye khus lut gaye hain sare
tum bas apna aanchal sambhalo dheere

22 nd march opening poem

sara Udaipur holi khel raha tha and Ankit show kar raha tha but the show was really a hit and Ankit had more than usual number of calls and messeges
Link to download this poem :-http://rapidshare.com/files/102206425/22_march_opening_poem.wav.html
Lyric :-
narazagi khamoshiyo se ho jaye baat se pehale
narazagi khamoshiyo se ho jaye baat se pehale
andhere ke talabgaar ho kyu tum raat se pehale
dil ke haal ko tum apane haal se bhi chupaye rakhana
khul ke ro lena mohabbat magar meri mulakat se pehale pehale
main bhi ek zamane me khub rango se holi khelta tha
main bhi ek zamane me khub rango se holi khelta tha
par ab rang dekhakar dar sa lagta hain holi se thik pehale pehale
main ab bhi tera intezaar karke ruswa nahi hu
par dil ke halat ab bhi vahi hain
dil ki har baat se pehale pehale
judai tadap aansu shiqawe sabhi jalwe mohabbat ke
judai tadap aansu shiqawe sabhi jalwe mohabbat ke
anzaam tum rakhana shuruaat se pehale pehale
aur phir is ada pe to mar mite the mujh jaise
aur phir is ada pe to mar mite the mujh jaise
vo jurm kabool kar gaya tha meri tahqiqat se pehale pehale
sardi garmi aur basant ke mausam bhi pachchees baras me dekh liye
sardi garmi aur basant ke mausam bhi in pachchees baras me dekh liye
ab nikale lab se koi dua is saal bas barsaat se pehale pehale
vo to juth bolane ka hunar janta hi nahi
janta hain to bas kyu nikalte hain aansu palke jhapakne se pehale
har tyohaar par tera vo sajna sanwarna
par holi par parde me chipkar mera har andaaz niharna
rang khud rang tab lagte hain jab vo tere chehare pe sajte hain
rang khud tab lagte hain jab vo tere chehare pe sajte hain
narazagi khamoshiyo se na jane kyu aajkal baat se pehale
aaj ke din dua hain bas tujhase mulakat ho jaye aaj ki raat se pehale

21st march poem

Ankit read only closing poem today . He began show at 9 so no opening poem
Link to download this poem :-http://rapidshare.com/files/102206081/21_march_poem.wav.html
Lyric:-
kehate hain ishq katilana hota hain
kehate hain ki ye ishq katilana hota hain
shbab se gul sharab se kadwa hota hain
nadan hain vo
nadan hain vo insaan jo aisa kahte hain
jinhone usake ek lamhe ishq ka ahsaas kiya hain
vo kahan meri jaise rahte hain
vo to ek haseen kali ki tarah hain
jo priyatam ki yaad ki dhup me khilkar mahkata hain
vo to hain us chatak pakshi ki tarah
jo apane priyatam ki ek bund ke liye puri zindagi tarasta hain
hain vo ek kiran ki tarah
jo subah se intezaar karti hain suraj ke ane ka
andhero ke bhag jane ka
apano se sab kuch kahne ka
aur apne aap se har cheez chupa lene ka
bankar mitata hain jo vo ishq hain
kehkar chup rahta hain jo vo ishq hain
mitkar hamesha saanso me rahta hain jo vo ishq hain
na jano tum ishq dava hain
na mano tum to bhi ye dua hain
na mano tum to bhi ye dua hain ye dava hain
kyunki ishq ek ahsaas jo sari zindagi ek duje ke paas hain

Thursday, March 20, 2008

20 th march closing poem - poem number 4

As we know about the countdown so here is the poem number 4 :-
Link to download this poem :- http://rapidshare.com/files/100939712/20_march_closing_poem.wav.html
Lyric :-
aankhon ko aansuo ne kabhi yun saja diya
jaise meri palko me juganuo ne jharokha sa bana diya
aankhon ko aansuo ne kabhi yun saja diya
jaise meri palko me juganuo ne ek jharokha sa bana diya
lahro me ek din teri tasveer ayegi
lahro me ek din teri tasveer ayegi
kagaz ko aaj humane bhi nadi me bahna sikha diya
main to shayad ek bejuban paththar hi rahata
main to shayad ek bejuban paththar hi rahata
par na jane kisaki mohabbat ne mujhe bolana sikha diya
main chand ka khyal tha taro ka khwab tha
main chand ka khyal tha taro ka khwab tha
kisane mujhe chirag banakar jala diya
kab subah ki azaan kab shaam ki vo aarti mera muh dhulayegi
kab subah ki vo azaan kab shaam ki vo aarti mera muh dhulayegi
bekhwab siskiyo ne mujhe thapthapakar sona sikha diya
gam zara sa khubsurat dijiye
hum mohabbat hain udaipur sirf mohabbat dijiye
apaki adhakhuli aankhon me kho jabe ki izazat dijiye
hum kyu aur kya jane
ki hum kyu aur kya jane
ki deewaro par ye dhup kaise rukati hogi
ki hum kyu aur kya jane
ki deewaro par ye dhup kaise rukati hogi
hume to bas apani bikhari julfo me inni si jagah dijiye
ek deewar par kal raat chand tika tha
main ye samjha ki tum baithe ho
main ye samjha ki tum baithe ho
meri aankhon ne use pyaar se dekha
ab bas apaki aankhon me qaid hone ki hinakat kijiye

20th march opening poem

Link to download this poem :- http://rapidshare.com/files/100939148/20_march_opening_poem.wav.html

Lyric :-
pyaar aur kismat shayad hamare dost hain
humako to sirf pyaar chahiye aur unko kismat
pyaar aur kismat shayad hamare dost hain
humako to sirf pyaar chahiye aur unko kismat
ye kaisa ahsaas tumane pyaar aur kismat me jagaya hain
aankhein band karu to tumhe apane paas hi paya hain
kabhi tumhare kandhe pe sar rakhata hu
to kabhi tum apani god me mera sar rakhati hu
tum ise kismat kahti ho main ise pyaar kahta hu
kyu tumane soye hue jazbaat ko jagaya hain
kyu tumane soye hue jazbaat ko jagaya hain
kyun humako apani kismat se pyaar karna sikhaya hain
pyaar aur kismat shayad hamare dost hain
dil dhadakta to tha bachpan se
ye dil dhadakta to tha bachpan se
kyu dhadkano ko dhadak kar apana banaya hain
kyun inaki saanso ko bas mera hi naam sujhaya hain
humane to dil ko deewaro me bandh kar rakha tha
ki humane to dil ko deewaro me bandh kar rakha tha
tumane na jane kaise in deewaro ko giraya hain
kaise in deewaro me ek pyara sa ghar banaya hain
kaise is kismat par na yakin karne wale ko
pyaar kismat se hota hain bas yahi bataya hain
apaka hath to hain samane
par hum use thamane se darte hain
apaka hath to hain samane
par hum use thamane se darte hain
apane aap ko kismat par yakin dilane se darte hain
ab is pyaar se darte hain
kuch apani kismat se darte hain
bas isiliye darte darte bhi hum sirf tujhase pyaar karte hain
apani kismat par aitbaar karte hain
apaka hath to hain samane
ye pyaar aur kismat ab humare dost hain
kisi ko kya chahiye kisi ko kya

Wednesday, March 19, 2008

19 th march closing poem - poem number 5

As i mentioned in post of 13 th march closing poem that the count down begun and here is the poem number 5 : -

Link to download this poem :- http://rapidshare.com/files/100793159/19_march_closing_poem.wav.html

Lyric :-
hum hain kuch apane liye
kuch zamane ke liye
hum hain kuch apane liye
kuch zamane ke liye
ghar ke bahar ki fiza me hansane hansane ke liye
hum isliye samhalte hain aansu
ki yahi hain bas apna pyaar batane ke liye
hum isliye samhalte hain aansu
ki bas ek yahi hain apna pyaar batane ke liye
yun na lutate firo in motiyo ko
ye to nageene hain apani akeli raato ko sazane ke liye
ki main jis raste par bhi chalu
ye le ata hain mujhe tere ghar ki taraf
ki main jis raste par bhi chalu
ye le ata hain mujhe tere ghar ki taraf
hamari kya galti roz ki tarah hum to nikale the studio jane ke liye
par ye badalta mausam
par ye badalta mausam
teri yaad dilata hain
jab ghumata ghumata ek yaadon ka kohara
mere dil se nikalkar teri palko par chata hain
tu vaada karti hain mujhase milane ka
tu vaada karti hain mujhase milane ka
par diye waqt par tera number not reachable ho jata hain
phir mere gusse ko satane ke liye mujhe manane ke liye
tujhe ek naya bahana yaad ata hain
is safar me dhoop to hogi tum chal sako to chalo
is safar me dhoop to hogi tum chal sako to chalo
sabhi hain bheed me shamil
tum bheed se nikalkar is bheed ko jawab de sako to mere sath chalo
yahan kisi ko koi raasta nahi deta
yahan kisi ko koi raasta nahi deta
par mujhe girakar agar tum khud sambhal sako to chalo
yahi hain zindagi kuch khwab chand ummede aur mohabbat
yahi hain zindagi kuch khwab chand ummede aur ye mohabbat
inhi khilono se apane dil ko bahla sako to mere sath chalo
bas mez par taash ke patto si hain ye duniya
bas mez par taash ke patto si hain ye duniya
koi khone ke liye to koi pane ke liye
koi sapno me ane ke liye to koi neende churane ke liye
humane tumako hi yaad kiya sabko bhulane ke liye
par kambakht ye dil na bahla aur bahla bhi to ab is zamane ke liye
hum hain kuch apane liye
kuch zamane ke liye
ghar ke bahar ki fiza me hansane hansane ke liye

19 th march opening poem

Link to download this poem in Ankit's own voice :- http://rapidshare.com/files/100790942/19_th_march_opening_poem.wav.html

Lyirc :-
apani saheliyo me vo meri baat kar aksar
aajkal bheed me bhi mera naam liya karti hain
apani saheliyo me vo meri baat kar aksar
aajkal bheed me bhi mera naam liya karti hain
raat ho to apane kangan ko chumkar pagali
apane khwabo me mere khwabo ko buna karti hain
raat ho to apane kangan ko chumkar pagali
apane khwabo me mere khwabo ko buna karti hain
chalti hain jab mohabbat ki aandhi
ki chalti hain jab mohabbat ki aandhi
to sham jati hain
fir chaand ko khidki se takte hue
vo mujhe yaad kiya karti hain
jab raat ho
jab ye raat ho to sabase chupkar apani diary likhati hain vo dilbar
jab raat ho to sabase chupkar apani diary likhati hain vo dilbar
har lafz me bas mujhe baya karti hain
apani soch me kabhi dub ke kho jati hain jab vo
apani soch me kabhi dub ke kho jati hain jab vo
yaadon ki paghdandi par meri ungali thaam kar chala karti hain
aye bahar to jikra mera chedati hain
ki jab aye bahar to jikra mera chedati hain
phoolon se aajkal vo is bhanware ka pata puchati hain
bhule se bhi mujhe koi dard na mile
ki bhule se bhi mujhe koi dard na mile
har raat chaand taro se yahi dua karti hain
padhati hain vo mera khat vo jab december ke mahine me
ki padhati hain jab vo mera khat december ke mahine me
mere khat ko thand na lag jaye isliye use razai me chupaya karti hain
mujhe pyaar se bhi jyada pyaar karti hain
shayad mera dil bhi aajkal apane takiye pe rakhati hain
tale lag jate hain har raat usake ghar ke darvaje par
par main kya pata kahin se chala aau
isliye khidkiya apani khula rakhati hain
hume jo dekhake jo chupchap parde me chip jati hain
hume jo dekhake jo chupchap jo parde me chip jati hain
aajkal shayad koi bahut hi khubsurat hume bhi pyaar kiya karti hain

18 th march closing poem - poem number 6

As i mentioned in post of 13 th march closing poem that the count down begun and here is the poem number 8 : -

Link to download this poem :- http://rapidshare.com/files/100788985/18_march_closing_poem.wav.html

Lyric :-
achcha tumhare shehar ka dustoor ho gaya
jisako gale lagaya vo humase dur ho gaya
achcha tumhare shehar ka dustoor ho gaya
humane jisako gale lagaya vo humase dur ho gaya
kagaz me dab kar mar gaye gulab koi
ki kagaz me dab kar mar gaye gulab koi
deewana tera ab sare shehar me mashhoor ho gaya
mahlo me humane na jane kitane sitare saja diye
lekin zameen se chand ab thoda sa dur ho gaya
tanhaiyo ne tod di hum dono ki khamoshi
aur ye aaina ab baat karne ko majboor ho gaya
achcha tumhare shehar ka dustoor ho gaya
har shaam puchati vo aankhein kai sawal
har shaam puchati hain vo aankhein kai sawal
vo paas ayega ya hamesha ke liye humase dur ho gaya
ek din phool zarur khilenge cactus ke ped me
ek din phool zarur khilenge cactus ke ped me
aisa aajkal us cactus ka haal ho gaya
achcha tumhare shehar ka dustoor ho gaya
bas pyaar me deewana tera deewana hay deewana ho gaya
bas gayi ye kisaki mahak meri saanso me
har khushbu me teri khushbu nazar ati hain
ki har khushbu me teri khushbu nazar ati hain
aur bas isi mohabbat se ye din hamara phir se shuru ho gaya
achcha tumhare shehar ka dustoor ho gaya
humane jise gale lagaya
bas vahi humase dur ho gaya

17 th march closing poem - poem number 7

As i mentioned in post of 13 th march closing poem that the count down begun and here is the poem number 7 : -

Link to download this poem :- http://rapidshare.com/files/100788291/17_th_march_closing_poem.wav.html

Lyric :-
barso baad aaj vo muqam aya hain
gulabi ek khat aaj mere naam aya hain
barso baad aaj vo muqam aya hain
gulabi ek khat aaj mere naam aya hain
yun khushbu se mahka diya vajood ko mere
veerane me jaise koi gulab khil aya hain
yun laga vo nasheeli likhavat dekhakar
kore kagaz ko kisi ne jaam pilaya hain
baste the jo har pal meri saanso me
shayad sadiyo baad aaj unka paigam aya hain
bata na saka jo apani beinteha mohabbat
bata na saka jo apani beinteha mohabbat
har vo kissa aaj unhone gin ke bataya hain
nazare bichaye rakhana hamare intezaar me
nazare bichaye rakhana hamare intezaar me
shararti andaaz me unhone ye farmaan bhijwaya hain
par shayad kismat ko manzur na thi muskurahat meri
lakeero me jaise ek mahal banaya hain
ban sakta tha kabhi zindagi meri
usane ek khat bhejkar apani mohabbat ko pyaar samjhaya hain
pichale kai dino se bas usane har baat par yahi kahlwaya hain
kya fayada kyu sochate ho kya hoga hamara
ye dil hain dil ki baato ko bhala kaun samajh paya hain

15 th march closing poem - poem number 8

As i mentioned in post of 13 th march closing poem that the count down begun and here is the poem number 8 : -

Link to download this poem :- http://rapidshare.com/files/100785395/15_march_closing_poem.wav.html

vo kahan se aya tha
aur aakar usane dhup se badal ko se kyu milaya tha
ye baat shayad logo ko pasand ayi nahi
makan chota tha lekin maine bahut pyaar se sajaya tha
suraj se li thi roshani titali se rang churaya tha
phoolon se li thi khushbu chand ko pyaar sikhaya tha
vo na jane ab kahan hain sahayd vajah jaha raaste nahi jate
jisake sath main pichale saal un raasto par aya tha
mandiro me jakar matha teka tha har paththar ko gale lagaya tha
ab suna hain chahakane lage hain parinde bhi us ped par
jis paudhe ko kabhi humane milkar lagaya tha
chirag bhi bujh gaye us dil-e-aashiyane ke
mera dum bhi usi dhuen me ghutha tha
makan chota hi sahi lekin maine bahut pyaar se sajaya tha
sab samajhate hain kya bas yahi raat ki kismat hogi
par nahi raat andheri nahi hoti
sitaro ki roshani hoti hain
meri aankhon me vo badal ka tukada aaj bhi barasane lagta hain
mausam koi bhi ho uska naam lete hi badalene lagta hain
koi na jaan saka vo kahan se aya tha
aur aakar usane badal ko dhup se kyun milaya tha

15 th march opening poem

Link to download this poem :- http://rapidshare.com/files/100783752/15_march_opening_poem.wav.html

Lyric :-
ab sitare to ate hain asman me
par us raat na jane kyun sitaro me roshani na thi
us raat shayad phir kisi sitare ka dil tuta tha
us raat shayad phir kisi sitare ka dil tuta tha
kisi sitare ne shayd phir suraj se mohabbat ki thi
boye the humane bhi kuch reshami dhago ke khwab us sitare ke sath
boye the humane bhi kuch reshami dhago ke khwab us sitare ke sath
shayad kuch dhago ne bhi kisi ganth se pyaar karne ki himakat ki thi
maula se mujhe shiqayat hain
maula se mujhe shiqayat hain
kyun nahi usaki sab par barabar inayat hain
chand to rahe raat bhar us sitare ke sath
bas ek hamari hi har subah na ho sake usase koi baat
pani ki har bund bhi chupi hain usake baalo me
ek dabi dabi si hansi hay vo usake galo me
kajal usaki aankhon me lagkar itarata rahta hain
ki kajal usaki aankhon me lagkar itarata rahta hain
main gora hu to bhi usase sur vo kala hokar bhi usake paas rahta hain
badal chand sab usase baat karte hain
ki ye badal chand sab usase baat karte hain
main sitara hokar bhi chup chup rahta hu
maula se mujhe shiqayat hain
kyun nahi usaki sab par barabar inayat hain
usake aansu bahe
usake aansu bahe to hawa chalakar sukha deta hain
hum rote rahe raat bhar bhi to hume kahan koi thapkiya deta hain
hum samajh na sake duriya kyun thi
juban par labz the bahut par vo khamoshiya kyu thi

14 th march closing poem - poem number 9

As i mentioned in post of 13 th march closing poem that the count down begun and here is the poem number 9 : -

Link to download this poem :-
http://rapidshare.com/files/100781050/14_march_closing_poem.wav.html

Lyric :-
meri chinta na karo main to sambhal jaunga
main geeli mitti hu har roop me dhal jaunga
meri chinta na karo main to sambhal jaunga
ki main geeli mitti hu har roop me dhal jaunga
main koi chand ki bas raat ko hi aau
main koi chand jo bas raat ko hi aau
ya amavas ke din kahi kho jau
main to juganu hu aapake liye dhup me bhi jal jaunga
isiliye mujhe papa mele me nahi le jate
ki dekhunga khilone shayad to machal jaunga
barf ki seel hu main mujhe dhup me rakhate kyun ho
ki barf ki seel hu main mujhe dhup me rakhate kyun ho
mujhe galna hain to main chaanv me bhi gal jaunga
kaanch ka farsh banake mujhe ghar me na bulana
ki kaanch ka farsh banake mujhe ghar me na bulana
main agar isape chalunga to shayad fisal jaunga
achcha lagta hain mujhe mitti ka gharaunda
ki achcha lagta hain mujhe mitti ka gharaunda
aap jaise kahenge vaise chalta jaunga
kai baar chuttiyo pe jane ka man karta hain
ki kai baar chuttiyo pe jane ka man karta hain
par bataiye chuttiyo me aapase dur kaise rah paunga
isiliye ab sunday ko ane ka bhi man bana liya
isiliye ab bas sunday ko ane ka bhi man bana liya hain
isi bahane hi sahi aapke paas to rah paunga
main to deewana hu sirf tera
ki main to deewana hu sirf tera
ek din mohabbat se age nikal jaunga
mujhako mohabbat ke khwab dikhane wale
main koi sapna nahi jo chann se tut jaunga
meri chinta na karo main to dil hu tera
ki meri chinta na karo main to dil hu tera
bas apane dil me na dhadka to koi baat nahi
tere dil me dhadak ke rah jaunga
main geeli mitti hu pyaar se sahi thokar hi maar dena
main geeli mitti hi sahi pyaar se sahi ek thokar hi maar dena
kuch bana to thik varna ek matka bankar apake ghar me rah jaunga

14th march opening poem

Link to download this poem in Ankit's voice :- http://rapidshare.com/files/100780431/14march_opening_poem.wav.html

Lyric :-
vo kahte hain humane tumhe bhula diya
tumhari yaadon ko na jane kahan sula diya
bhulna mujhe itna asan nahi
magar suno ye namumkin bhi nahi
patjhad me sab patte us ped ka sath chhod jate hain
patjhad me sab patte us ped ka sath chhod jate hain
bas vo jhugnu hi hote hain jo sard raat me bhi timtimate hain
jab gazal koi tumhe sunayega jab dega tumhe koi awaz
jab gazal koi tumhe sunayega jab dega tumhe koi awaz
mangoge jab duaon me kisi ka naam
shayad ye soch kar ki vo badnaam ho jayega
na tum dua mangana chhodoge
na usaka naam japna chhodoge
dekhoge hatheliyo ko jab gaur se tum
to zara gaur se dekhana
dekhoge hatheliyo ko jab gaur se tum
to zara gaur se dekhana
bhulna chahte ho roz jisako usaka naam vahi paya jayega
dhundhoge un lakiro me mera naam
chahe koi bhi ho jaye badnaam
hogi aankh zarur nam jab nahi milega vaha mera naam
hogi nam zarur vo aankh jab nahi milega vaha mera naam
jab dega na koi tumhara sath
dushman sa lagega ye zamana
tab kuch na sochana paas hamare chali ana
ho jaoge tanha kaun sambhalega tumako
bas aankhein band karke yaad kar lena humako
shayad chand se to ladai kar li hogi tumane
shayad badalo ka daman bhi chhod diya hoga tumane
shayad chand se to ladai kar li hogi tumane
shayad badalo ka daman bhi chhod diya hoga tumane
par ye badal hi to the jinhone aakar mujhe bataya
tumhara sara gussa baras baras kar jataya
vo chand hi to tha jisane bataya tum hume yaad rakhana chahte ho
par fir kahte ho hum tumhe bhulana chahte hain
vo badal hi to tha jisane tumhare dil ki har baat hume batayi
vo hawa ka ek jhonka hi to tha
jisane mujhe tumhare hone ka ahsaas karaya
vo ek lahar thi jisane mujhe sagar par sirf tumhara pata bataya
vo pyaari baate hi to thi jisane bataya ki main tumhari baato me rahta hu
vo tumhari awaz hi to thi jisane mujhe apano awaz ka pata bataya
sach kahu meri mohabbat meri har saans ke sath tumhare hone ka ahsaas jataya
kahte hi ki hum tumhe bhulana chahte hain
pata nahi bhulana mujhe assan hain ya nahi
pata nahi bhulana mujhe assan hain ya nahi
par ye bhul ye yaad ik armaan hain ya nahi
patjhad me sab patte us ped ka sath chhod jate hain
bas vo jhugnu hi hote hain jo sard raat me bhi timtimate hain

13 th march closing poem - poem number 10

Ankit promised his fans to list out his top 10 favourite poems the poems that he likes and He is gonna read his favourites from down to top so here is the poem number 10 : -

Link to download this poem in MP3 format :-http://rapidshare.com/files/99298756/13_march_closing_poem.wav.html

LYRIC :-
saaye utare panchi laute
ab to chand bhi jane wala hain
ki saaye utare panchi laute
ab to chand bhi jane wala hain
lekin main vo tuta tara nahi jo aasman se neeche nahi girne wala hain
phir subah hui aankhein kholi kapade badale jute ke feete bandhe
aur is shehar ke bare me socha jo kuch der aur sone wala hain
kal phir ek khwab ne aakar mere aanshu ponche
kal phir mere ek khwab ne aakar mere aanshu ponche
jo hum sab ki tarah ek angdai lekar na jane kisaki aankhon me khone wala hain
dil ke ye darwaze ab koi khatkhatata nahi
dil ke ye darwaze ab koi khatkhatata nahi
shayad ab koi khatkhatne wala hain
kai saal tak hum logo ko bulate rahe
ab shayad koi hume bulane wala hain
main hu vo shabnam jo phoolon ki aankhon me rahe aur ye soche
aisa lagta hain sab kuch to nahi
magar kuch zarur is muththi me ane wala hain
hum ret ke in jalate zarro ko ye dhup hi chamkaye
varna chav se rishta purana hain
us chav ke ander kaun parchai banke ane wala hain
juganu chamake to main chaunku tara nikle to main sahmu
lagta hain mera koi sapna aaj phir mera dil jalane wala hain
jis chappar ke neeche ganv ke budhe hukka peete rahte hain
jis chappar ke neeche ganv ke budhe hukka peete rahte hain
us chat ke chappar me kaun dard sunane wala hain
jis aaine ko tum purse me rakhe phirte the tut gaya
ye dhup ka sheesha kisaki aankhon se khwab churane wala hain
log tut jate hain ek ghar banane me
ki log tut jate hain ek ghar banane me
tum kyun taras nahi khate kisi ka dil dukhane me
log tut jate hain ek ghar banane me
tum kyun taras nahi khate kisi ka dil dukhane me
har dhadakte dil ko log dil samajhate hain
are umra ban jati hain puri
har dhadakte dil ko log dil samajhate hain
are umra ban jati hain dil ko dil banane me
usaki majburi ye bhi kah nahi sakti
aaj bhi pura din lagaya sukhe phoolon se apna ghar sazane me
tamam rishto ko to main roz apne ghar ho chhod ata hu
par in char ghanto me Udaipur apase itna pyaar pata hu
bahut kuch yaad karta hu magar kah nahi pata
bahut ajeeb hain ye nazdeekiya ki duri bhi hain
bahut ajeeb hain ye nazdeekiya ki duri bhi hain
ki aap mere sath rahte hain itni der par dikhayi nahi dete
chaliye shayad ye ahsaas studio se main apne sath lekar jane wala hu

Thursday, March 13, 2008

13 th march opening poem

the link from where you can download this poem in MP3 format :- http://rapidshare.com/files/99270827/12th_march_opening_poem.wav.html

LYRIC :-
har ek muskurahat muskaan nahi hoti
intezaar ho ya mohabbat aasan nahi hoti
aansu ho khushi ke ya gam ke
aajkal ankit ko inaki pehchaan nahi hoti
har ek muskurahat muskaan nahi hoti
intezaar ho ya mohabbat aasan nahi hoti
baat bhi hain vahi par matlab badal gaye
baat hain vahi par matlab badal gaye
dil dagmagaya tha thoda par hum sambhal gaye
ate hain vo din bhi jaha log hain lekin
ate hain vo din bhi jaha log hain lekin
lekin apna sab kuch hain logo ke paas
aajkal logo ke andaaz badal gaye
har ek muskurahat muskaan nahi hoti
intezaar ho ya mohabbat aasan nahi hoti
is jahan me chehare bhi ek jaise ghunghat bhi ek jaise sehare bhi ek jaise
is jahan me chehare bhi ek jaise ghunghat bhi ek jaise sehare bhi ek jaise
jati hain ye nazare pehchanti hain ye nazare
magar kya kare jinase milna chahti hain jinako dekhana chahti hain
aajkal unase mulakat nahi hoti
intezaar ho ya mohabbat ye aasan nahi hoti
apani parayi surat pahchani si lagti hain
ki apani parayi surat pahchani si lagti hain
zindagi me bas aajkal kisi ki kami si lagti hain
ye dil bhi ajeeb shayar ban baitha
chand sitaro ko dekhate hi kalam se mohabbat kar baitha
duriya kahan nahi hoti
ye duriya kahan nahi hoti bas aajkal un fasalo se mulakat nahi hoti
mahfil bhi hain yaha dil bhi vahi hain
ki mahfil bhi hain yaha aur ye dil bhi vahi hain
na jane aajkal mohabbat ke us ahsaas se hamari pahchaan nahi hoti
haan kahte hain ki har ek muskurahat muskaan nahi hoti
intezaar ho ya mohabbat aasan nahi hoti

Wednesday, March 12, 2008

Ankit on orkut 4 u all

orkut community :- http://www.orkut.com/Community.aspx?cmm=50069818
and
orkut profile :- http://www.orkut.com/Profile.aspx?uid=9664171264144324588

12th march closing poem

Link from where u can download this poem in Ankit's own voice :- http://rapidshare.com/files/98946067/12th_march_closing_poem.wav.html
This was opening poem of today but it was read again in closing of show on demand of listeners but Ankit statred in same way but gave it a different ending so posted it twice read and see what difference opening and closing poem have although both are just brilliant
LYRIC :-
ab kya kahu tumase meri subah ka adhura sapna ho tum
chadhate chadhate rah gaya ek aisa halka nasha ho tum
band haatho se fisalti sunahri ret ho tum
sagar tak na pahunche jo nadi vo aankhon ka pani ho tum
jaha dekhu jaha mudu bas vahi maujud ho tum
jaha dekhu jaha mudu bas vahi maujud ho tum
agar aankhein band ho to meri saanso me basi ho tum
roz rahti ho meri aankhon ke samne
ek aks jo hatata nahi aankhon ke age se
vo aks ho tum
aankhein khuli to mere dil ki tasveer ho tum
aye mohabbat mohabbat ho tum
mujhame hokar bhi mujhase magar kauso dur ho tum
mujhame hokar bhi mujhase magar kauso dur ho tum
subah hote hi kho gayi jo chandni vo chandni ho tum
din dhalte ban gayi jo parchai vo parchai ho tum
raat phir aa rahi chand bhi nikalega hi
raat phir aa rahi chand bhi nikalega hi
tum hogi to chandani hogi tum hogi
par meri har subah ki pahali kiran ho tum
tujhe na dekhu na mahsus karu to meri subah na ho
meri aankhon se girane wale aansu jo ab moti ban jate hain vo moti ho tum
main har baar sochkar jise mahsus karta hu
har baat jo kisi se kahta nahi sirf tujhase kahta hu
ye badalta mausam ye barish ki bunde
in bundo me hota ek ahsaas ik baat ho tum
teri har baat me tere gusse me jo baat dabi rahti hain mera vo gussa ho tum
mohabbat karo par mohabbat ko kosana nahi
mohabbat karo par mohabbat ko kosana nahi
teri bewafai pe jaanbujh kar mit jau vo bewafai ho tum
teri khushi ke liye teri shaadi me bhi aana chahu
vo shadi ho tum vo sapna ho tum
aur kuch to khuda se hum mangate nahi khud ke liye
aur kuch to ab khuda se hum mangate nahi khud ke liye
bas tujhe mile duniya ki har khushi meri vo khushi ho tum

12 th march opening poem

Link from where you can download this poem in Ankit's voice :-http://rapidshare.com/files/98943622/12th_march_opening_poem.wav.html

Lyric :-
ab kya kahu tumase meri subah ka adhura sapna ho tum
chadhate chadhate rah gaya ek aisa halka nasha ho tum
band haatho se fisalti sunahri ret ho tum
sagar tak na pahunche jo nadi vo aankhon ka pani ho tum
ab kya kahu tumase meri har subah ho tum meri har shaam ho tum
main jaha dekhu jaha mudu bas vahi maujud ho tum
agar band ho aankhein to meri saanso me basi ho tum
aankhein khule to mere dil ki tasveer ho tum
mujhame hokar bhi mujhase magar kauso dur ho tum
subah hote hi chandni jo kho jati hain
subah hote hi ye chandni jo kho jati hain
din dhalte hi ek parchai si ban jati hain
raat phir ayegi chand nikalega hi
ye raat phir ayegi ye chand nikalega hi
tum hogi to chandani hogi tum hogi to meri har subah hogi
teri aankhon se girane wale aansu
moti ban jaye bas meri aanhon ke vo aansu ho tum
main har baar soch ke jise muskura deta hu meri vo soch ho tum
teri har baat se tere gusse se bhi pyaar karne laga hu
aisa gussa ho tum
mohabbat karo par mohabbat ko kosana nahi
mohabbat karo magar mohabbat ko kosana nahi
agar kosate jayenge aisi kosane wali soch hu main
teri bewafai par bhi teri bewafai par bhi main mar mit jau
aisi khoobsurat bewafa ho tum
teri khushi ke liye meri sari khushiya qurban aisi khushi ho tum
teri hansi ke liye tod lau chand sitare ek aisi hansi ho tum
mujhame rahkar bhi na jane mujhase kitni dur basi ho tum
tera aana ek sapne ki tarah lagta hain
tera paas baithana mujhe bina palke jhapkaye mujhe dekhate rahna
na jane kya sochte rahna par apne hotho se kuch na kahna
mujhase jo sari baatein na kah pao aisi mohabbat ho tum
mera dil dhadke aur awaz tere dil me aye aisi dhadkan ho tum
roz taiyyar hona chahe ye dil baar baar kisi ke liye
bas vahi ho tum vahi ho tum

Monday, March 10, 2008

11 th march closing poem

here is the link from where you can download this poem in Ankit's voice in MP3 format :-
http://rapidshare.com/files/98618208/11th_march_closing_poem.wav.html
LYRIC:-
phir hoth ki larzish geet bani
phir saanso ka naam shayad zindagi
phir sher kalam se nikale
ek nayi daastan bani
phir koi milane aya shayad tabhi ye mausam badla
phir dard kisi ka apana dard bana
phir koi milane aya shayad tabhi ye mausam badla
phir dard kisi ka apana dard bana
phir zakhm kisi ke apne zakhm ban jate hain
aisa kab hota hain
hoti hain garmi aur badal chale ate hain
shayad phir kisi ne yaad kiya tabhi ye mausam badla
phir badal ne chalte chalte apna rukh badla
phir badal ne chalte chalte apana rukh badla
phir ek aansu shayad aaj kisi ki aankh se tapka
sabne samjha use aus ka tukda
par gulab ne use gale lagaya
jab ek kaante ne kisi ka dil dukhaya
shayad tabhi ye mausam badla
ki chalte chalte badalo ne apna rukh badala
phir aya ek hava ka jhonka
phir aya ek hava ka jhonka jis jhonke ko kisi ne na roka
bas apane paro par baithakar us bund ko le gaya yahan se bahut dur
dur bahut dur
phir na jane vo aus ka tukda kaha jakar
barsa badal se barish bankar ya shayad aap sabki aanhon se pani bankar barsa
hua aaj subah shayad kuch aisa hi
ki apane kisi ko bahut yaad kiya bahut pyaar kiya
shayad tabhi to achanak se garmi me ye mausam badla

11th March opening poem

Link from where you can download this poem in Ankit's voice :-
http://rapidshare.com/files/98606693/11_march_opening_poem.wav.html
LYRIC:-
par ishq kahan ab hamare sath rahta hain
jab aankh me aansu barf hue
tab jakhm kisi ke mahsus hue
jab neend ko hum jagana bhul gaye
jab hum kisi ke liye sari raat sona bhul gaye
phir dil ko dhadkana yaad aya
shayad kisi ka khyal aya
jab dard purane ho baithe
jab yaadon ke juganu rakh hue
jab intezaar ki lambi raaho me ahsaas ke baal safed hue
sapno ki jagati raato me khwabo ke vo juganu chamak uthe
jab aankhein besailab hui
jab neend aandhi ban baithi
jab aankhein besailab hui
jab neend aandhi ban baithi
jab khwab purane bekhwab hue
phir kuch sitare humase naraz hue
humako dil ka dhadkana yaad aya
shayad aankhon me koi chala aya
jab dard purane ho baithe
jab yaadon ke juganu rakh hue
jab ret par likhi yaadon ko lene sagar ka ek kona aya
jab hosh ki kachchi deeware girane mohabbat ka fasana aya
jab dard purane ho baithe
jab yaadon ke juganu rakh hue
humako thapakiya dene jane kaunsa saya aya
thoda akela sa thoda pareshaan sa
mohabbat ko mohabbat ka saar sikhane chala aya
par ishq kahan ab hamare sath rahta hain
par ishq kahan ab hamare sath rahta hain
ishq tab chala jata hain jab ye jahan ishq ka imtihaan leta hain
hum to pyaar me rakh hue
bas yaadon ke juganu ke sath din barbad hue
par ishq kahan ab hamare sath rahta hain

Sunday, March 9, 2008

10 th march closing poem

Link from where you can download this poem in Ankit's voice :- http://rapidshare.com/files/98488712/10_march_closing_poem.wav.html
LYRIC :-
kal shaam yunhi puri yaadein samet rahe the hum
kal shaam yunhi puri yaadein samet rahe the hum
aapko na sochte hue bhi bahut soch rahe the hum
bahut sawal uthaye dil ne
chaliye kuch aapse bhi puch lete hain hum
dur peeche waqt ke fasalo ke us paar
dur peeche waqt ke fasalo ke us paar
jagah to mujhe yaad nahi par sach kahte hain mere yaar
na khane ka waqt na ghar jana malum rahta hain
na khane ka waqt na ghar jana malum rahta hain
mera ye dil kyun aapke dil me rahta hain
vo aapki hansi vo sadagi ka guman
vo aapki hansi vo sadagi ka guman
vo lakho shiqayate vo gussa baar baar
vo aapki aankhon ki hilati putliya puchati hain kai sawal
vo aapki aankhon ki hilati putliya puchati hain kai sawal
sawal puchti hain meri khamoshi ka
bolte bolte kabhi mere chup ho jane ka
sawal puchti hain meri thodi si khamoshi ka
bolte bolte kabhi mere chup ho jane ka
bahana mandir ka aur kahin aur jane ka
bahana mandir ka iradakahin aur jane ka
roz gussa karne ka fir khud hi maan jana
kahti hain bade pyaar se dhyan rakhna apane khane ka
hay uff kamal
kya kahu kya na kahu
kya kahu kya na kahu
kamal hain nasha hain jadu hain pata nahi
par dil par ab nahi kabu hain
kahne ko bahut si baatein
par shabdo me nahi vo jadu hain
yaadon ko samet abhi jate hain hum
yaadon ko samet abhi jate hain hum
subah 7 par udaipur sirf aapase milane ek baar fir se ate hain hum

10 th march opening poem

Link to download this poem in Ankit's voice :- http://rapidshare.com/files/98359806/10march_opening_poem.wav.html
Lyric :-
jab bhi hote hain aajkal kisi se baat
sochata hu yahi ki kyun hain aajkal apne dil ke kuch aise halat
jab bhi hote hain aajkal kisi se baat
sochata hu yahi ki kyun hain aajkal apne dil ke kuch aise halat
haath do pair do aankhe bhi hoti hain do
haath do pair do aur ye aankhein bhi hoti hain do
bhagwan ko kya sujhi jab sab cheeze banayi do
to fir kyo dil ek banaya
jab cheeze banayi do kyo dil sirf ek hi banaya
banaya so banaya kyon usame pyaar ka ahsaas jagaya
do anjaane log anjaane kono me rahte hain
do anjaane log anjaane kono me rahte hain
sirf is dil ki vajah se ek duje ke aaspaas rahte hain
ek ho jaye udaas to duja bhi udaas sa rahta hain
ki ek ho jaye udaas to duja bhi udaas sa rahta hain
jaan dono ki nikalti hain ek duje ke bina
juban khamosh par ye dil hi sabkuch kahta hain
kaash ya to do char dil bana deta khuda
ya fir dil hi na banata
har insaan shayad fir tarakki hi tarakki karta jata
gadi bunglow paisa ye sab to shayad zarur hota
par aansu kisi aur ke liye apani aankhon me kabhi na pata
na jagta kisi ke liye na ret par vo sapno ke mahal banata
na chand se karta mohabbat na tare ginkar raat bitata
na ahsaas hota kisi ki bhukh ka
na kisi ki takleef ko jaan pata
chalo achcha hi hua khuda ne sab kuch soch samajhkar banaya
hum jaiso ke seene me bas ek hi dil lagaya
vaise aap sabhi apne dil se bahut khush honge
par Ankit ko jane kiska dil lagaya hain
haan dil hain ye udaipur ka
dil hain ye aapka jo ab mere dil me utar aya hain
jab bhi hoti hain aajkal kisi se baat sochata hu yahi ki
aanha sochata nahi ki kyun hain is dil ke aise halat

9 th march - no poems at all sunday

aa hi gaya fir ye stupid sunday aisa nahi lagta ki ye sunday week me do baar ane laga hain ???????????? mujhe to lagta hain ki ye kambakht sunday week me ek nahi do baar ata hain monday ko khush bhi nahi ho pate ki fir saturday aa jata hain . how disappointing but chalo achcha hain jo cheez asani se na mile usi ki value hoti hain na :)

8 th march closing poem

Today in closing Ankit read his poem of 20th feb again because his fans requested a lot
Link to download this poem in Ankit's voice :-
http://rapidshare.com/files/93533345/20_feb_opening_poem_RJ_ANKIT.wav.html
LYRIC :-
vo sare khat jala do vo sari baate bhula do
vo adhakahe anjaane sapne bas dil ke kisi kone me chupa do
vo sare khat jala do vo sari baate bhula do
vo adhakahe anjaane sapne dil ke kisi kone me chupa lo
ya to main zindagi bhar hi
ya to main zindagi bhar hi bin kahe tere teri sari baatein samajhata rahu
ya tum kabhi hume apane hotho se bhi kuch bata do
koi to hoga jisane tumhe bhi mayus kiya hoga
kahin koi to hoga jisane tumhe bhi mayus kiya hoga
vo sari ummede mita do
ab usaka naam bhi bhula do
bas socho usase bas socho yahi ki usase seekha humane
ki kaise kisi ka dil dukhata hoga
jab dikhaye koi ek sapana aur vo sapna tutata hoga
zindagi abhi thodi bahut to baki hain
zindagi abhi thodi bahut to baki hain
bas un aansuon ko pani me duba do
vo chahe lakh kare baddua tere liye
vo chahe lakh kare baddua tere liye
bas tum use har pal dua do
tumhara ishq hi tumhari vafa hi bas yahi kafi hain
tumhara ishq hi tumhari vafa hi kafi hain hamare liye
tumhara ye ahsaas hi kafi hain
jab kabhi milo usase to bas muskura dena
shayad usake liye to yahi silsila kafi hain
mujhe baharo ke mausam se koi lena dena nahi
mujhe baharo ke mausam se koi lena dena nahi
bas tum pyaar se ek pyali chai hi pila do
bas vo sare khat jala do vo sari baate bhula do

7th march closing poem

Link to download this poem in Ankit's voice :- http://rapidshare.com/files/98359517/7_march_closing_poem.wav.html

LYRIC :-
mujhako aangan me dikha ek saaya chalta hua
mujhako aangan me dikha ek saaya chalta hua
tuhi yaha aya ya mujhe dhokha hua
mere ghar me zindagi ki umra bas utni hi thi
mere ghar me zindagi ki umra bas utni hi thi
jab talak tha tainaam har taraf bikhara hua
ab nazar is roop par thahare bhi to bhala kis tarah
ab nazar is roop par thahare bhala bhi to kis tarah
nazar me meri tu nazar ki tarah faila hua
kya karu kya kya karu
kya karu kya kya karu
karu kaise tera bayan
tu to hain bas ek ek ahsaas bahut pyara
kahin ander tak mere utra hua
baat hogi to baat me dard bhi hoga
baat hogi to baat me dard bhi hoga
usane ishaare me kuch to kaha hoga
jisane kholi na umra bhar aankhein
jisane kabhi kholi na umra bhar aankhein
usaki aankhon me koi chupa to hoga
vo mera ghar ho ya ki sapna ho tera
vo mera ghar ho ya ki koi sapna ho tera
teri hi aankhon me jagta to hoga
ye gazal hain ki koi hichaki hain
shayad mohabbat se vo meri baat kar raha hoga
dil me ek tis jo ubhare to gazal hoti hain
zakhm sare gahare ho jaye tujhe yaad karke to gazal hoti hain
ati jati to ye rail kai jagaho se hainpar jab tere ganv se guzare to gazal hoti hain
tera paigaam ab roz kahan ata hain
gusse gusse me tujhe bas phone rakhna ata hain
tera paigaam ab roz kahan ata hain
gusse gusse me tujhe bas phone rakhna ata hain
magar jab dil ko har pal tera hi intezaar ho tab gazal hoti hain
zindagi tere intezaar me hamare intezaar karte karte basar hoti hain
hum mohabbat to bahut karte hain tujhase
hum mohabbat to bahut karte hain tujhase
par kahan is baat ki ab apane dil ko khabar hoti hain
haan tu yaad to ati hain
shayad yaado me hi koi gazal hoti hain

7th march opening poem

link to download this poem in Ankit's voice :- http://rapidshare.com/files/98359126/7_march_opening_poem.wav.html
LYRIC :-
mujhase mera kya rishta hain har ek rishta bhul gaya
mujhase mera kya rishta hain har ek rishta bhul gaya
itna aaina dekha hain aapne aaina ki ab apana chehra bhul gaya
tum to ban sanwarne ko aaine ke samane khadi ho jati ho
tum to ban sanwarne ko aaine ke samane khadi ho jati ho
par tumhe geele baalo ko suljhata dekha
aaina aanhein bharna bhul gaya
itna aaina dekha hain tumane ki aaina apana chehra bhul gaya
tere aks ka intezaar sabase pehale main karta tha
tere aks ka intezaar sabase pehale main karta tha
par jabase aaine ne tujhe dekha vo koi aur aks dekhana bhul gaya
tu jab taiyar hoti hain tu jab taiyar hoti hui mathe pe apane bindi lagati hain
na puch kambakht us aaine ki jaan kaise nikal jati hain
ek vohi to hain jo tujhe mujhase jyada dekhata hain
ek vohi to hain jo tujhe mujhase jyada dekhata hain
par na aanhein bharta hain na vaah vaah karta hain
ab to hume bhi yaad nahi ki farq tha kitna tum dono me
ab to hume bhi yaad nahi ki kitna farq tha tum dono me
na usaki baatein yaad rahi na tumhe tumhari adao ka malum rahta hain
mujhase na jane kya rishta hain tera
mujhase na jane kya rishta hain tera o aaine
sab kuch tu mere mahboob se kahta hain
jab main aau samane puchane dil ki baatein
to bada chup chup rahta hain
chup ke teri har ada khud me kaid kar leta hain
chup ke vo teri har ada khud me kaid kar leta hain
main bhi aajkal isiliye chup chup rahata hu
sochata hu ki ab kya bolu aajkal vo chup rahne wala aaina bahut bolata hain
itna aaina dekha hain aapneki aaina ab apana chehra bhul gaya
mujhase mera kya har rishta bhul gaya

6th march closing poem

Link to download this poem in Ankit's voice :- http://rapidshare.com/files/98358806/6_march_closing_poem.wav.html
LYRIC:-
ab to neend nahi ayegi dekh sirhane yaad tumhari
ab to neend nahi ayegi dekh sirhane yaad tumhari
humane to ek rishta boya tha
pyaar na jane kaise ug aya
kab seencha kab hara ho gaya
kisane kar di usape chaya
ab is dil ko kaun sambhale
na koi kandha na baahein kisi ki
ab is dil ko kaun sambhale
na koi kandha na baahein kisi ki
jab bhi khud ko bas akela paya
tujhe apane aas paas hi paya
ab chahta hu ki bahut neend aye
ab chahta hu ki bahut neend aye
bahut khwab aye aur us khwab me milane
bas tu chali aye
jaha dekhu main bas tu hi tu nazar aye
roz tere saye ko dekhkar khud ko apana samajh leta hu
roz tere saye ko dekhkar khud ko apana samajh leta hu
tu samjhaye to samajh aye
baki is deewane ko kahan kuch samajh aye
tu nazar na aye to man ghabaraye
nazar aa jaye to hoth kuch na kah paye
teri vo bindi haatho ki chudiya
vo tera pyara sa suit jab pehane to kamal jadu si mujhe nazar aye
jab chale hawa mujhe chukar mere paas se
jab chale hawa mujhe chukar mere paas mujhe har jagah har ahsaas tera hi nazar aye
sochu tujhase kuch puchu kuch kahu kuch batau
magar jab main dekhu in gadi ki suiyo ko
ye waqt chaar kadam age badhata jaye
bahut socha tumhe bahut chaha bahut kahane ki koshish ki
magar jab tu samane aya na puch is dil ko kya ho jaye
pooja karu ab bhagwan ki main par
agarbatti ka vo dhua tasveer teri banaye
lagau koi khushbu apane badan par
bas har pal teri khushbu apane badan se aye
vo saanso me basi khushbu ho tum
kabhi na bata pau vo mohabbat ho tum
kisi ki yaadon ke bina na rah pau vo ishara ho tum
mujhame basi mujhase jyada
mujhako mujhase jyada janane wali vo kamal ho tum
bas ab to neend ayegi teri yaadein ayegi

6th march opening poem

Link to download this poem in Ankit's voice :-
http://rapidshare.com/files/98358495/6_march_opening.wav.html
LYRIC :-
kitani mushkil se kati meri kal ki raat na puch
dil se nikali vo kaunsi baat hotho par dabi rahi na puch
main ab jisake vaste lad jau khuda se
main ab jisake vaste lad jau khuda se
mujhe khud se pyaara lagane laga kisaka sath na puch
kitani mushkil se kati meri kal ki raat na puch
vo to ada se guzar gaya mere samane se
maine kaise sambhale ye jazbaat na puch
waqt badale to insaan bhi badal jate hain
par usaki tasveer me usaki ada badali badali si lagi kaise na puch
main kisika ho gaya aur mujhe khabar na hui
main kisi ka ho gaya aur mujhe khabar na hui
kis tarah churaya usane dil mera kal ki raat na puch
raat bhar phone par batiyane ka bahut man tha
raat bhar phone par batiyane ka bahut man tha
kaise baate banakar kal raat maine usase phone rakhwaya na puch
intezaar hain mujhe fir se use sunane ka
intezaar hain mujhe fir se use sunane ka
milane ka aur bahut kuch kahane ka
par waqt vo waqt kab layega is dil se na puch
ab tera pyaar nahi sanam to kuch bhi nahi
badi mushkil se dil ko apane koi dil mila hain
itane salo baad kaise bas ye na puch
kitani mushkil se kati meri kal ki raat na puch
dil se nikali vo kaunsi baat dabi rahi hotho me na puch

5th march closing poem

Link to download this poem in Ankit's voice :- http://rapidshare.com/files/98358230/5th_march_closing_poem.wav.html
Lyric :-
humane mahboob ki aankhon par haatho ko apane rakhkar dekha
humane mahboob ki aankhon par haatho ko apane rakhkar dekha
pyaar ke angaro ko jab unki nazaro me dhadakte dekha
unhi haatho ko dil par rakhakar apani hasarato ko humane
khud kisi ki aankhon se jalate dekha
chand ki tarah humane kisiko apane pyaar par marte dekha
humane mahboob ki aankhon par haatho ko apane rakhkar dekha
ek hi manzar har raat kyu hota hota hain
ek hi manzar har raat ka kyu hota hota hain
chaand bhi aajkal meri chat par aakar rota hain
palko me nami hoti hain bikhari bikhari
palko me nami hoti hain bikhari bikhari
dil fir bhi nayi ummeed ke sapane roz pirota hain
vo to apane takiye ko apane aagosh me lekar so jate hain
jane kaise vo apane dil ko samjhate hain
raat ki rani ko humane mahakta dekha
humane kisi ko sard raato me apane liye jagta dekha
par har rishte par banavat ab khud hi ayi hain
bazar me jaise ab humane apane pyaar ki kahin boli lagayi hain
koi baatein apane hotho pe see li hain
koi jahar kisi ke kahane se pee liya hain
na jane humane kyun aisa kiya hain
kyu humane mahboob ki aankhon par haatho ko apane rakhkar dekha
jab na ho vo paas to humane bas usi ko socha hain
usi ko samjha hain usi ko jana hainusi ko mahsus kiya hain

5th march opening poem

Link to download this poem in Ankit's voice :- http://rapidshare.com/files/98357786/5th_march_opening_poem.wav.html

LYRICS :-
jo guzar gaya un lamho me
jo sath hain un yaadon me
ye kya dhundhate ho haatho ki chand lakeero me
jise kal raat dekha tha apane sapane me
ya jise na paya apane khwabo me
jo guzar gaya un lamho me
ya jo sath hain un yaadon me
dhundhate ho jise har jagah kisi apane me
har beeti baat me ane wale kal me
apani kismat se kya puchate ho
apani kismat se kya puchate ho
kaun hain vo haatho ki lakeero me
jo bichad gaye un logo me
har anjaane chehare me
dhalate suraj me kya dhundhate ho
kya dhundhate ho barish ki bundo me
jise dekha hain sirf khwabo me
humane jise dekha hain sirf khwabo me
chaha hain jise din me chaha jise raato me
ek chand tanha akash me dhundhata hain
ek chand tanha akash me dhundhata hain
koi roz raat mujhe kahin hain kya jo pyaar se sochata hain
ek main tanha is shehar me ek chand tanha
roz chand sa humsafar koi dhundhata hain
ab aankhein mil bhi jaye kisi se to bhi main chup rahta hu
ab ye aankhein mil bhi jaye kisi se to bhi main chup rahta hu
kahan kuch kahta hu bas chup hi rahta hu sab kuch sahta hu
humane dil ki baat kabhi mani na thi
humane is dil ki baat kabhi mani na thi
aur jab mani bhi to kahin na thi
kahane ki sochi jab dil ki baato ko
kahan gayi vo mulakate kahan gayi
vo raato ko kahin to hogi un baaton me
kahin to hogi un khwabo me
haan shayad chand sa koi khubsurat humsafar
dhundhata hu main haatho ki lakeero me
jo guzar gaya un lamho me
jo sath hain un yaadon me

4th march closing poem

Link to download this poem in Ankit's voice :- http://rapidshare.com/files/98357535/4_march_closing_poem.wav.html
LYRIC :-
kal jane anjane kar li hogi kisi se mohabbat
kal jane anjane kar li hogi kisi se mohabbat
jane anjane tumane bhi kisi ka dil to dukhaya hoga
khud chup chup rahti hain ya chupchup roti rahati hain
khud to tum chupchup rahti ho chupchup roti rahti ho
kal jane anjane kisi na kisi ko ek pal ke liye hi sahi magar rulaya to hoga
ye kya baatein teri baato se ati hain nazar
ye kya baatein teri baato se ati hain nazar
ye kaunsa chehra meri aankhon ne banaya to hoga
mere rone par meri aankhon ke neeche kuch lakeere ban jati hain
ye lakeere apane haatho ki lakeero se bhi jyada achchi nazar ati hain
ye hatho ki lakeere to mitati nahi shayad use mukaddar kahte hain
ye hatho ki lakeere to mitati nahi shayad use mukaddar kahte hain
par rote rote mohabbat ki ye lakeere kyun mit jati hain
sach kahu tum mujhe apane aap se bhi jyada yaad ati ho

4th march opening poem

Link to download this poem in Ankit's voice :-
http://rapidshare.com/files/98357151/4_march_opening_poem.wav.html
LYRIC :-

khamosh baaton ki basti me ghume mohabbat akeli
ankahi ansulajhi bani hain ek paheli
khamosh baaton ki basti me ghume mohabbat akeli
ankahi ansulajhi bani hain ek paheli
tera ruthana mera manana
bas yahi hain ab apani zindagi ka fasana
tera ruthana mera manana
bas yahi hain ab apani zindagi ka fasana
lagta hain jaise zindagi ka ruth jana
tujhe manane thand me bhi mera chale ana
lagta hain jaise zindagi ka ruth jana
tujhe manane thand me bhi mera chale ana
tu to soyi hoti hain apani razai me
mera ghanto tak bas teri gali ke chakkar lagana
kisi se dant na padne tak bike ka horn bajana
bas tera ruthate jana mera manate jana
na ruthana bura hain na ruthe sanam ko manana bura hain
bas payal kangan chankakar kisi deewane ko deewana banana bura hain
somwar se shanivar karna tera intezaar
somwar se shanivar karna tera intezaar
aur ravivar ke din bhi tera mujhase milane na ana ye thoda bura hain
naaz hain mujhe tere husn par naaz teri baaton par
naaz hain mujhe tere husn par naaz teri baaton par
par deewano se baat baat par baatein banana bura hain
chalo achcha hain ki tu hafte me do teen baar ruth jati hain
chalo achcha hain ki tu hafte me do teen baar ruth jati hain
mere bahane hi sahi tere ghar me phoolon ki mahak to ati hain
khamosh baaton ki basti me ghume mohabbat akeli
ankahi ansulajhi bani hain ek paheli

3rd march closing poem

Link to download this poem in Ankit's own voice :- http://rapidshare.com/files/98356862/3_march_closing_poem.wav.html
LYRIC :-
kya sachmuch pehali nazar me ho jata hain ye pyaar
ya kisi ke dur jane se hota hain ye baar baar
kya sachmuch pehali nazar me ho jata hain ye pyaar
ya kisi ke dur jane se hota hain ye pyaar
pyaar yani hansana rona khona pana
pyaar yani hansana rona khona pana
hamare liye hal pal bas roz kuch na kuch khote jana
jisaka bhi intezaar karo usaka kabhi laut kar na ana
pyaar me mitna sahna kaha gaya vo satana manana
kabhi takrar kabhi na khatm hone wala intezaar
ek nasha hain pyaar
pyaar khuda kisi ki zindagi to kisi ke liye bandagi
ye aag bhi hain isame jheel si thandak bhi hain
ye khubsurat bhi ye chalava bhi
kabhi saza kabhi sapne kabhi aarzu kabhi khwahishe
pyaar hain ab mujhe pyaar hain mujhe ab aapki har pareshani se
pyaar hain mujhe aapki har shiqyat se
pyaar hain mujhe apake gusse se
pyaar mujhe apaki neend se
pyaar aapki neend se pyaar aapki pyari pyari baato se
pyaar aapke sapno se pyaar aapke apano se
apana to koi ab raha nahi koi jisane mujhe kuch kaha nahi
kuch sapano ke liye hum zinda hain
kuch sapane pure apake bhi zarur honge
jab hum tum dono ek dusare ke sang sang honge
kya sachmuch pehali nazar me hota hain pyaar

3rd march opening poem - pyaar

link to download this poem in Ankit's voice :-
http://rapidshare.com/files/98355453/3_march_opening_poem.wav.html
pyaar se dosti karke dekha humane
pyaar ko bahut pyaar se dekha
pyaar se dosti karke dekha
humane pyaar ko bahut pyaar se dekha
pyaar se mohabbat karke dekha
pyaar ko chahat ki nazaro se dekha
pyaar ko ulfat bana ke dekha
par pyaar ne hume nahi dekha
pyaar ko ulfat bana ke dekha
par pyaar ne hume nahi dekhana
vo dosti hain hain vo mohabbat
na vo chahat hain na hain vo ulfat
pyaar dilo ki dhadkan hain
har dil ki awaz hain
pyaar dilo ki dhadkan hain
har dil ki awaz hain
meri kalam ki takat hain
shayad vahi mohabbat hain
meri kalam ki takat hain
shayad vahi mohabbat hain
mohabbat aisi ki mohabbat aisi ki naraz ho koi to bhukha rahta hain koi
khush ho koi to khush rahta hain koi
mohabbat aisi ki naraz ho koi to bhukha rahta hain koi
khush ho koi to khush rahta hain koi
pyaar ibadat hain pyaar hi inaayat hain
pyaar se bandha hain har insaan
pyaar se thoda mahroom se jaha
pyaar to bas gunguni dhup hota hai
jo kahin chaanv tale chupake se sota hain
is pyaar ka na koi apna na paraya
ye pyaar to bas pyaar hota hain

1 st march opening and closing poem - Khamoshi(aaj ek hi poem dono baar padhi ankit ne)

the link from which you can download this poem in Ankit's voice :- http://rapidshare.com/files/98355221/1_march_opening_n_closing_poem.wav.html
LYRIC:-
nazar se baatein hoth bhi khamosh tumhari tarah
nazar se baatein hoth bhi khamosh tumhari tarah
gazal ne seekhe hain vo sare andazz sab tumhari tarah
jo pyaas tez ho to ret bhi hain chadar ek pani ki
jo pyaas tez ho to ret bhi hain chadar ek pani ki
dur tak bas ek ummeed tere ane ki
hava ki tarah main betaab hu ki
hava ki tarah main betaab hu
kya pata kal kahan ka rukh vo kare
tu saath to sukh hi sukh
tu sath na to dukh hi dukh lage
nazar se baatein hoth bhi khamosh sab tumhari tarah
beete waqt ki tasveer meri subah shaam ho tum
beete waqt ki tasveer meri subah shaam ho tum
sunate hain mujhe khwabo ki daastan vo aksar
vo daastan ho tum
kahaniyo ke sath sach juth sab kuch tumhari tarah
kahaniyo ke sath sach juth sab kuch tumhari tarah
nazar se baatein hoth bhi khamosh tumhari tarah
sannata bhi ab kahan chup chup rahta hain
kambakht ye sannata bhi kahan ab chup chup rahta hain
bahut baatein karta hain vo teri tarah
aasman ke do kauno me sitare jagmagate hain
aasman ke do kauno me sitare jagmagate hain
ek meri tarah ek teri tarah
sari raat lihafo me royi ye aankhein
sari raat lihafo me royi ye aankhein
kehate the sab rishta nata sab jutha hain
par har juth par main yakeen karta raha teri tarah
tere har juth par main yakeen karta raha teri tarah
kehate hain ki sar jhukane se ye paththar bhi devta ho jata hain
kehate hain ki sar jhukane se paththar bhi devta ho jata hain
main phir bhi tujhe pujata raha kaash tu bhi devta ho jata dil na dukhata
teri vo baatein tere vo ahsaas puri zindagi yahi rahenge mere paas
bas sab teri yaadein sab teri baatein