Link to download this poem in Ankit's voice :- http://rapidshare.com/files/100780431/14march_opening_poem.wav.html
Lyric :-
vo kahte hain humane tumhe bhula diya
tumhari yaadon ko na jane kahan sula diya
bhulna mujhe itna asan nahi
magar suno ye namumkin bhi nahi
patjhad me sab patte us ped ka sath chhod jate hain
patjhad me sab patte us ped ka sath chhod jate hain
bas vo jhugnu hi hote hain jo sard raat me bhi timtimate hain
jab gazal koi tumhe sunayega jab dega tumhe koi awaz
jab gazal koi tumhe sunayega jab dega tumhe koi awaz
mangoge jab duaon me kisi ka naam
shayad ye soch kar ki vo badnaam ho jayega
na tum dua mangana chhodoge
na usaka naam japna chhodoge
dekhoge hatheliyo ko jab gaur se tum
to zara gaur se dekhana
dekhoge hatheliyo ko jab gaur se tum
to zara gaur se dekhana
bhulna chahte ho roz jisako usaka naam vahi paya jayega
dhundhoge un lakiro me mera naam
chahe koi bhi ho jaye badnaam
hogi aankh zarur nam jab nahi milega vaha mera naam
hogi nam zarur vo aankh jab nahi milega vaha mera naam
jab dega na koi tumhara sath
dushman sa lagega ye zamana
tab kuch na sochana paas hamare chali ana
ho jaoge tanha kaun sambhalega tumako
bas aankhein band karke yaad kar lena humako
shayad chand se to ladai kar li hogi tumane
shayad badalo ka daman bhi chhod diya hoga tumane
shayad chand se to ladai kar li hogi tumane
shayad badalo ka daman bhi chhod diya hoga tumane
par ye badal hi to the jinhone aakar mujhe bataya
tumhara sara gussa baras baras kar jataya
vo chand hi to tha jisane bataya tum hume yaad rakhana chahte ho
par fir kahte ho hum tumhe bhulana chahte hain
vo badal hi to tha jisane tumhare dil ki har baat hume batayi
vo hawa ka ek jhonka hi to tha
jisane mujhe tumhare hone ka ahsaas karaya
vo ek lahar thi jisane mujhe sagar par sirf tumhara pata bataya
vo pyaari baate hi to thi jisane bataya ki main tumhari baato me rahta hu
vo tumhari awaz hi to thi jisane mujhe apano awaz ka pata bataya
sach kahu meri mohabbat meri har saans ke sath tumhare hone ka ahsaas jataya
kahte hi ki hum tumhe bhulana chahte hain
pata nahi bhulana mujhe assan hain ya nahi
pata nahi bhulana mujhe assan hain ya nahi
par ye bhul ye yaad ik armaan hain ya nahi
patjhad me sab patte us ped ka sath chhod jate hain
bas vo jhugnu hi hote hain jo sard raat me bhi timtimate hain
No comments:
Post a Comment