As i mentioned in post of 13 th march closing poem that the count down begun and here is the poem number 8 : -
Link to download this poem :- http://rapidshare.com/files/100785395/15_march_closing_poem.wav.html
vo kahan se aya tha
aur aakar usane dhup se badal ko se kyu milaya tha
ye baat shayad logo ko pasand ayi nahi
makan chota tha lekin maine bahut pyaar se sajaya tha
suraj se li thi roshani titali se rang churaya tha
phoolon se li thi khushbu chand ko pyaar sikhaya tha
vo na jane ab kahan hain sahayd vajah jaha raaste nahi jate
jisake sath main pichale saal un raasto par aya tha
mandiro me jakar matha teka tha har paththar ko gale lagaya tha
ab suna hain chahakane lage hain parinde bhi us ped par
jis paudhe ko kabhi humane milkar lagaya tha
chirag bhi bujh gaye us dil-e-aashiyane ke
mera dum bhi usi dhuen me ghutha tha
makan chota hi sahi lekin maine bahut pyaar se sajaya tha
sab samajhate hain kya bas yahi raat ki kismat hogi
par nahi raat andheri nahi hoti
sitaro ki roshani hoti hain
meri aankhon me vo badal ka tukada aaj bhi barasane lagta hain
mausam koi bhi ho uska naam lete hi badalene lagta hain
koi na jaan saka vo kahan se aya tha
aur aakar usane badal ko dhup se kyun milaya tha
No comments:
Post a Comment