Link :- http://rapidshare.com/files/103802037/29_march_closing_poem.wav.html
Lyric :-
jab bhi hote hain aajkal kisi se baat
sochata hu yahi ki kyun hain aajkal aise mere dil ke halat
hath do pair do aankhe bhi do hoti
haath do pair do aur aankhein bhi hoti hain do
bhagwan ko kya sujhi ki jab sab cheeze banayi do
to fir dil ek kyo banaya
banaya so banaya kyon usame pyaar ka ahsaas jagaya
do anjaane log anjaane kono me rahte hain
do anjaane log anjaane kono me rahte hain
sirf is dil ki vajah se ek duje ke aas paas rahte hain
ek ho jaye udaas to duja bhi udaas sa rahta hain
jaan dono ki nikalti hain ek duje ke bina
juban khamosh par ye dil hi sabkuch kahta hain
kaash ya to do char dil bana deta khuda
kaash ya to do char dil bana deta khuda
ya fir dil hi na banata
har insaan shayad fir tarakki hi tarakki karta jata
gadi bunglow paisa ye sab to shayad zarur hota
par aansu kisi ke liye apani aankhon me na samajh pata
na jagta kisi ke liye na ret par mahal banata
na chand mohabbat karta na tare ginkar raat bitata
na ahsaas hota kisi ki bhukh kana kisi ki takleef ko na jaan pata
chalo achcha hi hua khuda ne sab kuch soch samajhkar banaya
hum jaiso ke seene me ek hi dil lagaya
aap sabhi apne dil se bahut khush honge
par Ankit ko na jane ya dil lagaya
par Ankit ko na jane ye kaunsa dil lagaya
haan udaipur ye dil hain apaka
jo meri awaz ke sath apake seene me utar aya
No comments:
Post a Comment