Monday, March 31, 2008

27 th march closing poem

Link :- http://rapidshare.com/files/103794765/27_march_closing_poem.wav.html
Lyric :-
kab tak tum mere dil ki khair manaoge
kab tak mujhe raah dikhaoge
badal ko pyaar se dekhoge mere dil par apna pyaar barsaoge
tum sajo sanwaro to khubsurat lago duniya ko
hamara katl to apani sadagi se hi kar jaoge
khushbu t eri ab bhi meri us purani kameez se ati hain
ki khushbu t eri ab bhi meri us purani kameez se ati hain
akelapan to mera chin hi liya tumane
phir kyu ye duniya mujhe badi chup chup si nazar ati hain
tum waqt par phone karna apana dhyan rakhna
khane peene me kuch utpatang na kha lena
hum to sari duniya ki baat kahan manate the
shayad apane sath sath ye duniya bhi
humase unke dil ki baat manvayegi
vo tera tulasi maa ko apani maa ki tarah pujna
hay vo teri sadagi aur meri har pareshani se tera
din raat jhunjhana
sab kuch akele hi sulajha dena
sab kuch akele hi sulajha dena
chupchup si rahkar mujhe uljha dena
tumhari yaado ke jab kakhm bharane lagte hain
kisi na kisi bahane hum tumhe phir yaad karne lagte hain
hume har ajnabi marham dikhayi deta hain
jo bhi teri gali se gujarta hain
suno tumane usako dekha
kaisi hain vo
kya pahna tha usane
nas inhi sawalo se ye dil girane lagta hain
tu to vahi chat par khadi rahti hain
par hum bas teri tasveer apani bike pe lagakar chalte jate hain
chalte jate hain
par speed ke kante to bahut hain meri bike me
par jaise hi teri gali me ate hain
na jane vo kante kyu bahut dheere ho jate hain
haan mohabbat mohabbat ho meri
dil karta hain dil se chahe tujhe
tujhape bas apani jaan se jyada marte jate hain
kab tak mere dil ki khair manaoge
kab tak mujhe raah dikhaoge

No comments: