Sunday, March 9, 2008

5th march closing poem

Link to download this poem in Ankit's voice :- http://rapidshare.com/files/98358230/5th_march_closing_poem.wav.html
Lyric :-
humane mahboob ki aankhon par haatho ko apane rakhkar dekha
humane mahboob ki aankhon par haatho ko apane rakhkar dekha
pyaar ke angaro ko jab unki nazaro me dhadakte dekha
unhi haatho ko dil par rakhakar apani hasarato ko humane
khud kisi ki aankhon se jalate dekha
chand ki tarah humane kisiko apane pyaar par marte dekha
humane mahboob ki aankhon par haatho ko apane rakhkar dekha
ek hi manzar har raat kyu hota hota hain
ek hi manzar har raat ka kyu hota hota hain
chaand bhi aajkal meri chat par aakar rota hain
palko me nami hoti hain bikhari bikhari
palko me nami hoti hain bikhari bikhari
dil fir bhi nayi ummeed ke sapane roz pirota hain
vo to apane takiye ko apane aagosh me lekar so jate hain
jane kaise vo apane dil ko samjhate hain
raat ki rani ko humane mahakta dekha
humane kisi ko sard raato me apane liye jagta dekha
par har rishte par banavat ab khud hi ayi hain
bazar me jaise ab humane apane pyaar ki kahin boli lagayi hain
koi baatein apane hotho pe see li hain
koi jahar kisi ke kahane se pee liya hain
na jane humane kyun aisa kiya hain
kyu humane mahboob ki aankhon par haatho ko apane rakhkar dekha
jab na ho vo paas to humane bas usi ko socha hain
usi ko samjha hain usi ko jana hainusi ko mahsus kiya hain

No comments: