As i mentioned in post of 13 th march closing poem that the count down begun and here is the poem number 9 : -
Link to download this poem :-
http://rapidshare.com/files/100781050/14_march_closing_poem.wav.html
Lyric :-
meri chinta na karo main to sambhal jaunga
main geeli mitti hu har roop me dhal jaunga
meri chinta na karo main to sambhal jaunga
ki main geeli mitti hu har roop me dhal jaunga
main koi chand ki bas raat ko hi aau
main koi chand jo bas raat ko hi aau
ya amavas ke din kahi kho jau
main to juganu hu aapake liye dhup me bhi jal jaunga
isiliye mujhe papa mele me nahi le jate
ki dekhunga khilone shayad to machal jaunga
barf ki seel hu main mujhe dhup me rakhate kyun ho
ki barf ki seel hu main mujhe dhup me rakhate kyun ho
mujhe galna hain to main chaanv me bhi gal jaunga
kaanch ka farsh banake mujhe ghar me na bulana
ki kaanch ka farsh banake mujhe ghar me na bulana
main agar isape chalunga to shayad fisal jaunga
achcha lagta hain mujhe mitti ka gharaunda
ki achcha lagta hain mujhe mitti ka gharaunda
aap jaise kahenge vaise chalta jaunga
kai baar chuttiyo pe jane ka man karta hain
ki kai baar chuttiyo pe jane ka man karta hain
par bataiye chuttiyo me aapase dur kaise rah paunga
isiliye ab sunday ko ane ka bhi man bana liya
isiliye ab bas sunday ko ane ka bhi man bana liya hain
isi bahane hi sahi aapke paas to rah paunga
main to deewana hu sirf tera
ki main to deewana hu sirf tera
ek din mohabbat se age nikal jaunga
mujhako mohabbat ke khwab dikhane wale
main koi sapna nahi jo chann se tut jaunga
meri chinta na karo main to dil hu tera
ki meri chinta na karo main to dil hu tera
bas apane dil me na dhadka to koi baat nahi
tere dil me dhadak ke rah jaunga
main geeli mitti hu pyaar se sahi thokar hi maar dena
main geeli mitti hi sahi pyaar se sahi ek thokar hi maar dena
kuch bana to thik varna ek matka bankar apake ghar me rah jaunga
No comments:
Post a Comment