Monday, March 31, 2008

26 th march closing poem - poem number 1

Link :- http://rapidshare.com/files/103792566/26_march_closing_poem.wav.html
Lyric :-
kal thakan bahut thi aankhon me
par neend nahi thi aankhon me
kal thakan bahut thi aankhon me
par neend nahi thi aankhon me
meri chappal pehankar na jane vo neend kahan chali gayi thi
khidki ke paas khade hokar dekha to paya neend ko mohabbat ke sath
ki khidki ke paas khade hokar dekha to paya neend ko mohabbat ke sath
bada ajeeb lag raha tha do kinaro ko dekhna ekdum paas paas
ek bade bargad ke neeche khade dono batiya rahe the
ek bade bargad ke neeche khade dono batiya rahe the
mohabbat ki vajah se neend nahi ati
ya neend ud jati hain jab mohabbat ho jati hain
yahi phalsafa ek sareke kandhe pe sar rakhkar farma rahe the
main chupchap khidki se un dono ko dekhata raha
aur apani mohabbat ke bare me bahut kuch sochata raha
vo chaar late baalo ki
vo chaar late baalo ki jab ati thi usake galo pe
haan mohabbat ko bhi ishq ho jata tha usake baalo se
vo usaki hansi hans ke jab vo dahini taraf dekhti thi
vo usaki hansi hans ke jab vo dahini taraf dekhti thi
sach kahu na kahu hay bahut kamal lagti thi
vo pink suit vo bahut si chudiya
vo pink suit vo bahut si chudiya
hatho me mehandi uska palko se bolna
kah jana puri duniya ki baato ko apne hotho me
kah jana puri duniya ki baato hotho se
bas mere puchane par kabhi apana muh na kholna
mere likhe khat ab tak use naye se lagte hain
mere likhe khat ab tak use naye se lagte hain
tabhi to usaki rack me aaj bhi kitabo ke sath sajate hain
main roz bahut si khushiya us khuda se usake liye mangata hu
par vo khushiya lauta deta hain mujhako
main janta hu ye kisaki karastani hain sab janta hu
tabhi to aye meri mohabbat bas ab mohabbat ko apna khuda manta hu
kal thakan bahut thi aankhon me par neend nahi thi aankhon me

No comments: