Wednesday, March 19, 2008

15 th march opening poem

Link to download this poem :- http://rapidshare.com/files/100783752/15_march_opening_poem.wav.html

Lyric :-
ab sitare to ate hain asman me
par us raat na jane kyun sitaro me roshani na thi
us raat shayad phir kisi sitare ka dil tuta tha
us raat shayad phir kisi sitare ka dil tuta tha
kisi sitare ne shayd phir suraj se mohabbat ki thi
boye the humane bhi kuch reshami dhago ke khwab us sitare ke sath
boye the humane bhi kuch reshami dhago ke khwab us sitare ke sath
shayad kuch dhago ne bhi kisi ganth se pyaar karne ki himakat ki thi
maula se mujhe shiqayat hain
maula se mujhe shiqayat hain
kyun nahi usaki sab par barabar inayat hain
chand to rahe raat bhar us sitare ke sath
bas ek hamari hi har subah na ho sake usase koi baat
pani ki har bund bhi chupi hain usake baalo me
ek dabi dabi si hansi hay vo usake galo me
kajal usaki aankhon me lagkar itarata rahta hain
ki kajal usaki aankhon me lagkar itarata rahta hain
main gora hu to bhi usase sur vo kala hokar bhi usake paas rahta hain
badal chand sab usase baat karte hain
ki ye badal chand sab usase baat karte hain
main sitara hokar bhi chup chup rahta hu
maula se mujhe shiqayat hain
kyun nahi usaki sab par barabar inayat hain
usake aansu bahe
usake aansu bahe to hawa chalakar sukha deta hain
hum rote rahe raat bhar bhi to hume kahan koi thapkiya deta hain
hum samajh na sake duriya kyun thi
juban par labz the bahut par vo khamoshiya kyu thi

No comments: