Monday, March 31, 2008

24th march opening poem

Link :- http://rapidshare.com/files/103786709/24_march_opening_poem.wav.html
Lyric :-
roz meri dhadkane chand ke ane ka intezaar karti hain
janti hain vo vo chand mera nahi phir bhi usi se pyaar karti hain
kal chand par jab meri nazar gayi kuch chup chup sa nazar aya
kal chand par jab meri nazar gayi kuch chup chup sa nazar aya
kuch badalo me chupa kuch badalo se khafa khafa sa nazar aya
roz meri dhadkane phir bhi chand ke ane ka intezaar karti hain
aise chup kar dekh raha tha mujhako jaise
chunni se tum chupchupkar dekhati ho mujhako
aise chup kar dekh raha tha mujhako jaise
chunni se tum chupchupkar dekhati ho mujhako
gussa hoti ho
gussa hoti ho to dur baith jato ho
neechi nigahe karke phir bhi meri hi awaz sunati jati ho
gussa hoti ho to dur baith jato ho
neechi nigahe karke phir bhi meri hi awaz sunati jati ho
kambakht ye gusse ki kashmakash chal hi rahi thi ki
na jane kahan se vo barish aa gayi
kambakht ye gusse ki kashmakash chal hi rahi thi ki
na jane kahan se vo barish aa gayi
soundhi soundhi mitti ki khushbu
tumhari choti se ati khushbu ko la gayi
ab kya kahu us chand ko
bachpan se ek hi rang ki roshni me dekhata aya hu
ab kya kahu us chand ko
main bachpan se ek hi rang ki roshni me dekhata aya hu
tum par to vo har rang ki saree hay
shayad kamal lagti hain
bas barish ke ate hi vo purani yaadein
dono ke gusse ke beech phir se taza ho gayi
bunde to bahar giri par dil ki zameen tere pyaar se geeli ho gayi
maine muskura kar dekha
maine muskura kar dekha
aur tera gussa na jane kahan kafur ho gaya
aur hay kaise na pata humako tere us gusse se bhi pyaar ho gaya
roz meri dhadkane chand ke ane ka intezaar karti hain
janti hain vo vo chand mera nahi phir bhi usi se pyaar karti hain

No comments: