Link :- http://rapidshare.com/files/102211688/24_march_opening_poem.wav.html
Lyric :-
roz meri dhadkane chand ke ane ka intezaar karti hain
janti hain vo vo chand mera nahi phir bhi usi se pyaar karti hain
kal chand par jab nazar gayi kuch chup chup sa nazar aya
kal jab chand par nazar gayi kuch chup chup sa nazar aya
kuch badalo me chupa kuch khafa khafa sa nazar aya
roz meri dhadkane phir bhi chand ke ane ka intezaar karti hain
aise chupkar dekh raha tha mujhako jaise chunni se tum chupchup kar dekhati ho mujhako
aise chupkar dekh raha tha mujhako jaise chunni se tum chupchup kar dekhati ho mujhako
gussa hoti ho to dur baith jati ho
gussa hoti ho to dur baith jati ho
neechi nigahe karke phir bhi meri hi awaz sunati jati ho
gussa hoti ho to dur baith jati ho
neechi nigahe karke phir bhi meri hi awaz sunati jati ho
kambakht ye gusse ki kashmakash chal hi rahi thi
ki na jane kahan se vo barish ho gayi
kambakht ye gusse ki kashmakash chal hi rahi thi
ki na jane kahan se vo barish ho gayi
saundhi saundhi mitti ki khushbu tumhari choti se ati khushbu ko la gayi
ab kya kahu us chand ko bachpan se ek hi rang ki roshni me dekhata aya hu
ab kya kahu us chand ko main bachpan se ek hi rang ki roshni me dekhata aya hu
par tum par to har rang ki saree hay shayad kamal lagti hain
bas barish ke ate hi vo purani yaadein dono ke gusse ke beech phir se taza ho gayi
bunde to bahar giri par dil ki zameen tere pyaar se geeli ho gayi
maine muskurakar dekha
maine muskurakar dekha aur tera gussa na jane kahan kafur ho gaya
aur hay kaise na pata humako tere us gusse se bhi pyaar ho gaya
roz meri dhadkane chand ke ane ka intezaar karti hain
janti hain vo chand mera nahi phir bhi usi se pyaar karti hain
No comments:
Post a Comment