Wednesday, March 19, 2008

19 th march closing poem - poem number 5

As i mentioned in post of 13 th march closing poem that the count down begun and here is the poem number 5 : -

Link to download this poem :- http://rapidshare.com/files/100793159/19_march_closing_poem.wav.html

Lyric :-
hum hain kuch apane liye
kuch zamane ke liye
hum hain kuch apane liye
kuch zamane ke liye
ghar ke bahar ki fiza me hansane hansane ke liye
hum isliye samhalte hain aansu
ki yahi hain bas apna pyaar batane ke liye
hum isliye samhalte hain aansu
ki bas ek yahi hain apna pyaar batane ke liye
yun na lutate firo in motiyo ko
ye to nageene hain apani akeli raato ko sazane ke liye
ki main jis raste par bhi chalu
ye le ata hain mujhe tere ghar ki taraf
ki main jis raste par bhi chalu
ye le ata hain mujhe tere ghar ki taraf
hamari kya galti roz ki tarah hum to nikale the studio jane ke liye
par ye badalta mausam
par ye badalta mausam
teri yaad dilata hain
jab ghumata ghumata ek yaadon ka kohara
mere dil se nikalkar teri palko par chata hain
tu vaada karti hain mujhase milane ka
tu vaada karti hain mujhase milane ka
par diye waqt par tera number not reachable ho jata hain
phir mere gusse ko satane ke liye mujhe manane ke liye
tujhe ek naya bahana yaad ata hain
is safar me dhoop to hogi tum chal sako to chalo
is safar me dhoop to hogi tum chal sako to chalo
sabhi hain bheed me shamil
tum bheed se nikalkar is bheed ko jawab de sako to mere sath chalo
yahan kisi ko koi raasta nahi deta
yahan kisi ko koi raasta nahi deta
par mujhe girakar agar tum khud sambhal sako to chalo
yahi hain zindagi kuch khwab chand ummede aur mohabbat
yahi hain zindagi kuch khwab chand ummede aur ye mohabbat
inhi khilono se apane dil ko bahla sako to mere sath chalo
bas mez par taash ke patto si hain ye duniya
bas mez par taash ke patto si hain ye duniya
koi khone ke liye to koi pane ke liye
koi sapno me ane ke liye to koi neende churane ke liye
humane tumako hi yaad kiya sabko bhulane ke liye
par kambakht ye dil na bahla aur bahla bhi to ab is zamane ke liye
hum hain kuch apane liye
kuch zamane ke liye
ghar ke bahar ki fiza me hansane hansane ke liye

No comments: