Today in closing Ankit read his poem of 20th feb again because his fans requested a lot
Link to download this poem in Ankit's voice :-
http://rapidshare.com/files/93533345/20_feb_opening_poem_RJ_ANKIT.wav.html
LYRIC :-
vo sare khat jala do vo sari baate bhula do
vo adhakahe anjaane sapne bas dil ke kisi kone me chupa do
vo sare khat jala do vo sari baate bhula do
vo adhakahe anjaane sapne dil ke kisi kone me chupa lo
ya to main zindagi bhar hi
ya to main zindagi bhar hi bin kahe tere teri sari baatein samajhata rahu
ya tum kabhi hume apane hotho se bhi kuch bata do
koi to hoga jisane tumhe bhi mayus kiya hoga
kahin koi to hoga jisane tumhe bhi mayus kiya hoga
vo sari ummede mita do
ab usaka naam bhi bhula do
bas socho usase bas socho yahi ki usase seekha humane
ki kaise kisi ka dil dukhata hoga
jab dikhaye koi ek sapana aur vo sapna tutata hoga
zindagi abhi thodi bahut to baki hain
zindagi abhi thodi bahut to baki hain
bas un aansuon ko pani me duba do
vo chahe lakh kare baddua tere liye
vo chahe lakh kare baddua tere liye
bas tum use har pal dua do
tumhara ishq hi tumhari vafa hi bas yahi kafi hain
tumhara ishq hi tumhari vafa hi kafi hain hamare liye
tumhara ye ahsaas hi kafi hain
jab kabhi milo usase to bas muskura dena
shayad usake liye to yahi silsila kafi hain
mujhe baharo ke mausam se koi lena dena nahi
mujhe baharo ke mausam se koi lena dena nahi
bas tum pyaar se ek pyali chai hi pila do
bas vo sare khat jala do vo sari baate bhula do
No comments:
Post a Comment