Link to download this poem in Ankit's voice :- http://rapidshare.com/files/98359806/10march_opening_poem.wav.html
Lyric :-
jab bhi hote hain aajkal kisi se baat
sochata hu yahi ki kyun hain aajkal apne dil ke kuch aise halat
jab bhi hote hain aajkal kisi se baat
sochata hu yahi ki kyun hain aajkal apne dil ke kuch aise halat
haath do pair do aankhe bhi hoti hain do
haath do pair do aur ye aankhein bhi hoti hain do
bhagwan ko kya sujhi jab sab cheeze banayi do
to fir kyo dil ek banaya
jab cheeze banayi do kyo dil sirf ek hi banaya
banaya so banaya kyon usame pyaar ka ahsaas jagaya
do anjaane log anjaane kono me rahte hain
do anjaane log anjaane kono me rahte hain
sirf is dil ki vajah se ek duje ke aaspaas rahte hain
ek ho jaye udaas to duja bhi udaas sa rahta hain
ki ek ho jaye udaas to duja bhi udaas sa rahta hain
jaan dono ki nikalti hain ek duje ke bina
juban khamosh par ye dil hi sabkuch kahta hain
kaash ya to do char dil bana deta khuda
ya fir dil hi na banata
har insaan shayad fir tarakki hi tarakki karta jata
gadi bunglow paisa ye sab to shayad zarur hota
par aansu kisi aur ke liye apani aankhon me kabhi na pata
na jagta kisi ke liye na ret par vo sapno ke mahal banata
na chand se karta mohabbat na tare ginkar raat bitata
na ahsaas hota kisi ki bhukh ka
na kisi ki takleef ko jaan pata
chalo achcha hi hua khuda ne sab kuch soch samajhkar banaya
hum jaiso ke seene me bas ek hi dil lagaya
vaise aap sabhi apne dil se bahut khush honge
par Ankit ko jane kiska dil lagaya hain
haan dil hain ye udaipur ka
dil hain ye aapka jo ab mere dil me utar aya hain
jab bhi hoti hain aajkal kisi se baat sochata hu yahi ki
aanha sochata nahi ki kyun hain is dil ke aise halat
No comments:
Post a Comment