Sunday, March 9, 2008

7th march closing poem

Link to download this poem in Ankit's voice :- http://rapidshare.com/files/98359517/7_march_closing_poem.wav.html

LYRIC :-
mujhako aangan me dikha ek saaya chalta hua
mujhako aangan me dikha ek saaya chalta hua
tuhi yaha aya ya mujhe dhokha hua
mere ghar me zindagi ki umra bas utni hi thi
mere ghar me zindagi ki umra bas utni hi thi
jab talak tha tainaam har taraf bikhara hua
ab nazar is roop par thahare bhi to bhala kis tarah
ab nazar is roop par thahare bhala bhi to kis tarah
nazar me meri tu nazar ki tarah faila hua
kya karu kya kya karu
kya karu kya kya karu
karu kaise tera bayan
tu to hain bas ek ek ahsaas bahut pyara
kahin ander tak mere utra hua
baat hogi to baat me dard bhi hoga
baat hogi to baat me dard bhi hoga
usane ishaare me kuch to kaha hoga
jisane kholi na umra bhar aankhein
jisane kabhi kholi na umra bhar aankhein
usaki aankhon me koi chupa to hoga
vo mera ghar ho ya ki sapna ho tera
vo mera ghar ho ya ki koi sapna ho tera
teri hi aankhon me jagta to hoga
ye gazal hain ki koi hichaki hain
shayad mohabbat se vo meri baat kar raha hoga
dil me ek tis jo ubhare to gazal hoti hain
zakhm sare gahare ho jaye tujhe yaad karke to gazal hoti hain
ati jati to ye rail kai jagaho se hainpar jab tere ganv se guzare to gazal hoti hain
tera paigaam ab roz kahan ata hain
gusse gusse me tujhe bas phone rakhna ata hain
tera paigaam ab roz kahan ata hain
gusse gusse me tujhe bas phone rakhna ata hain
magar jab dil ko har pal tera hi intezaar ho tab gazal hoti hain
zindagi tere intezaar me hamare intezaar karte karte basar hoti hain
hum mohabbat to bahut karte hain tujhase
hum mohabbat to bahut karte hain tujhase
par kahan is baat ki ab apane dil ko khabar hoti hain
haan tu yaad to ati hain
shayad yaado me hi koi gazal hoti hain

No comments: