Link to download this poem in Ankit's voice :-
http://rapidshare.com/files/98357151/4_march_opening_poem.wav.html
LYRIC :-
khamosh baaton ki basti me ghume mohabbat akeli
ankahi ansulajhi bani hain ek paheli
khamosh baaton ki basti me ghume mohabbat akeli
ankahi ansulajhi bani hain ek paheli
tera ruthana mera manana
bas yahi hain ab apani zindagi ka fasana
tera ruthana mera manana
bas yahi hain ab apani zindagi ka fasana
lagta hain jaise zindagi ka ruth jana
tujhe manane thand me bhi mera chale ana
lagta hain jaise zindagi ka ruth jana
tujhe manane thand me bhi mera chale ana
tu to soyi hoti hain apani razai me
mera ghanto tak bas teri gali ke chakkar lagana
kisi se dant na padne tak bike ka horn bajana
bas tera ruthate jana mera manate jana
na ruthana bura hain na ruthe sanam ko manana bura hain
bas payal kangan chankakar kisi deewane ko deewana banana bura hain
somwar se shanivar karna tera intezaar
somwar se shanivar karna tera intezaar
aur ravivar ke din bhi tera mujhase milane na ana ye thoda bura hain
naaz hain mujhe tere husn par naaz teri baaton par
naaz hain mujhe tere husn par naaz teri baaton par
par deewano se baat baat par baatein banana bura hain
chalo achcha hain ki tu hafte me do teen baar ruth jati hain
chalo achcha hain ki tu hafte me do teen baar ruth jati hain
mere bahane hi sahi tere ghar me phoolon ki mahak to ati hain
khamosh baaton ki basti me ghume mohabbat akeli
ankahi ansulajhi bani hain ek paheli
No comments:
Post a Comment