Monday, March 31, 2008

28 th march opening poem

Link :- http://rapidshare.com/files/103797221/28_march_opening_poem.wav.html
Lyric :-
ki aya hi nahi humako ahista se tere paas se guzar jana
ki aya hi nahi humako ahista se tere paas se guzar jana
sheeshe ka to muqaddar hain takrake bas yunhi bikhar jana
har raat ki tarah mohabbat ka taaro me chale ana
ki har raat ki tarah mohabbat ka taaro me chale ana
ahat na ho kadamo ki chand ka aise chahalkadami kar
khidaki se jhank kar mere paas me aa jana
hume nashe me sambhlane ka fan yunhi nahi ata
hume nashe me sambhlane ka fan yunhi nahi ata
humane un khuli julfo se seekha hain
hawao ka paas se chukar jana
bhar jayenge aankhon me yaado se bandhe badal
ki bhar jayenge aankhon me yaado se bandhe badal
yaad ayega jab tera sadagi se kisi ko maar jana
har mod par teri aankhein humase bas yahi kahti nazar ati hain
ki har mod par teri aankhein humase bas yahi kahti nazar ati hain
jaise bhi ho laut ke shaam ko jaldi ghar ana
ye chand sitare tum auro ke liye rakh lo
ki ye chand sitare tum auro ke liye rakh lo
humako to roshni deta hain teri gali ka vo aakhiri kinara
ki humako to roshni deta hain teri gali ka vo aakhiri kinara
jahan ki kone wali khidaki se hain
chand sitaro ka aaj bhi ana jana
jab tut gaya ek ped kahin pahad par
jab tut gaya ek ped kahin pahad par
tab hawao ne jana ki kahan se hain ana kahan hain nahi ana jana
tab kaha mohabbat ne ki galatiyo ki samjhaish na ho
tab kaha mohabbat ne ki galatiyo ki samjhaish na ho
mohabbat me dil ki galatiyo ka humase lagta hain rishta purana
aya hi nahi humako tere paas se guzar jana
sheeshe ka muqaddar takra ke bas yunhi bikhar jana

No comments: