Monday, March 31, 2008

28 th march closing poem

Link :- http://rapidshare.com/files/103798885/28_march_closing_poem.wav.html
Lyric :-
roz meri dhadkane chand ke ane ka intezaar karti hain
roz meri dhadkane chand ke ane ka intezaar karti hain
janti hain vo vo chand mera nahi phir bhi usi se pyaar karti hain
kal chand par jab meri nazar gayi kuch chup chup sa nazar aya
kuch badal me chupa kuch badal se khafa khafa sa nazar aya
aise chup kar dekh raha tha mujhako
aise chup kar dekh raha tha mujhako
jaise chunni se tum chupchupkar dekhati ho mujhako
gussa hoti ho to dur baith jato ho
gussa hoti ho to dur baith jato ho
neechi nigahe karke phir bhi awaz meri hi sunati jati ho
kambakht ye gusse ki kashmakash chal hi rahi thi kina jane kahan se vo barish aa gayi
hay soundhi soundhi mitti ki khushbu tumhari choti se ati khushbu ko la gayi
ab kya kahu us chand ko to bachpan se ek hi rang ki roshni me dekhata aya hu
par tum par to vo har rang ki saree kamal lagti hain
bas barish ke ate hi vo purani vo bahut purani yaadein
dono ke gusse ke beech phir se taza ho gayi
bunde to bahar giri par dil ki zameen tere pyaar se tarho gayi
maine tumhe muskura kar dekha aur tera gussa na jane kahan kafur ho gaya
maine tumhe muskura kar dekha aur tera gussa na jane kahan kafur ho gaya
aur sach kahu mujhe tere gusse se pyaar ho gaya

No comments: