Sunday, March 9, 2008

7th march opening poem

link to download this poem in Ankit's voice :- http://rapidshare.com/files/98359126/7_march_opening_poem.wav.html
LYRIC :-
mujhase mera kya rishta hain har ek rishta bhul gaya
mujhase mera kya rishta hain har ek rishta bhul gaya
itna aaina dekha hain aapne aaina ki ab apana chehra bhul gaya
tum to ban sanwarne ko aaine ke samane khadi ho jati ho
tum to ban sanwarne ko aaine ke samane khadi ho jati ho
par tumhe geele baalo ko suljhata dekha
aaina aanhein bharna bhul gaya
itna aaina dekha hain tumane ki aaina apana chehra bhul gaya
tere aks ka intezaar sabase pehale main karta tha
tere aks ka intezaar sabase pehale main karta tha
par jabase aaine ne tujhe dekha vo koi aur aks dekhana bhul gaya
tu jab taiyar hoti hain tu jab taiyar hoti hui mathe pe apane bindi lagati hain
na puch kambakht us aaine ki jaan kaise nikal jati hain
ek vohi to hain jo tujhe mujhase jyada dekhata hain
ek vohi to hain jo tujhe mujhase jyada dekhata hain
par na aanhein bharta hain na vaah vaah karta hain
ab to hume bhi yaad nahi ki farq tha kitna tum dono me
ab to hume bhi yaad nahi ki kitna farq tha tum dono me
na usaki baatein yaad rahi na tumhe tumhari adao ka malum rahta hain
mujhase na jane kya rishta hain tera
mujhase na jane kya rishta hain tera o aaine
sab kuch tu mere mahboob se kahta hain
jab main aau samane puchane dil ki baatein
to bada chup chup rahta hain
chup ke teri har ada khud me kaid kar leta hain
chup ke vo teri har ada khud me kaid kar leta hain
main bhi aajkal isiliye chup chup rahata hu
sochata hu ki ab kya bolu aajkal vo chup rahne wala aaina bahut bolata hain
itna aaina dekha hain aapneki aaina ab apana chehra bhul gaya
mujhase mera kya har rishta bhul gaya

No comments: