Monday, March 31, 2008

29 th march opening poem

Link :- http://rapidshare.com/files/103799935/29_march_opening_poem.wav.html
Lyric :-
kitane haseen chand nakabo me band hain
na jane kitane purane khat aajkal meri kitabo me band hain
kitane haseen chand nakabo me band hain
aur na jane kitane purane khat aajkal meri kitabo me band hain
mohabbat me hum janate hain kyu laila manjhanu ne jaan di
mohabbat to sach me aajkal unhi ki kabro me band hain
khushbu ke kafile to aajkal gulabo me band hain
aur vo gulab shayad kuch sikh se gaye hain
isiliye aajkal vo meri kitabo me band hain
roz raat taaro ko kya dekhate ho
ki roz raat taaro ko kya dekhate ho
un haseen taaro se puch lo
kitane hi mohabbat ke kisse aajkal usaki roshani me band hain
hume ab tak kisi haseen ka lifafa nahi mila
hume ab tak kisi haseen ka lifafa nahi mila
na jane kitane unsulajhe jawab us lifafe me band hain
roshan hua hain chand ye
roshan hua hain chand ye
jaise kal raat se hi
mere dil ki roshani aajkal chand ki muskaan me band hain
mere humdum
mere humdum mujhe rok na safar ke is bhanvar me
meri manzil aajkal teri ek muskaan me band hain
bahut socha ki kyun aajkal meri soch band hain
humane bohat socha ki kyun aajkal meri soch band hain
hawao ka rukh jharano ki awaz band hain
kyun parindo ki udaan band hain
kyu dil ki dhadkane band hain
pata chala ek tala lagaya tha ahsaaso ka
pata chala ek tala lagaya tha ahsaaso ka
kisi ne mere dil par
aajkal usaki chabi gum hain
bas tabhi se ye saans bhi ruk ruk ke soch soch ke ati hain
shayad aajkal kisi ke pahlu me band hain
na jane kitane haseen chand ab bhi angdayi lete hue razai me band hain

No comments: