Sunday, March 9, 2008

1 st march opening and closing poem - Khamoshi(aaj ek hi poem dono baar padhi ankit ne)

the link from which you can download this poem in Ankit's voice :- http://rapidshare.com/files/98355221/1_march_opening_n_closing_poem.wav.html
LYRIC:-
nazar se baatein hoth bhi khamosh tumhari tarah
nazar se baatein hoth bhi khamosh tumhari tarah
gazal ne seekhe hain vo sare andazz sab tumhari tarah
jo pyaas tez ho to ret bhi hain chadar ek pani ki
jo pyaas tez ho to ret bhi hain chadar ek pani ki
dur tak bas ek ummeed tere ane ki
hava ki tarah main betaab hu ki
hava ki tarah main betaab hu
kya pata kal kahan ka rukh vo kare
tu saath to sukh hi sukh
tu sath na to dukh hi dukh lage
nazar se baatein hoth bhi khamosh sab tumhari tarah
beete waqt ki tasveer meri subah shaam ho tum
beete waqt ki tasveer meri subah shaam ho tum
sunate hain mujhe khwabo ki daastan vo aksar
vo daastan ho tum
kahaniyo ke sath sach juth sab kuch tumhari tarah
kahaniyo ke sath sach juth sab kuch tumhari tarah
nazar se baatein hoth bhi khamosh tumhari tarah
sannata bhi ab kahan chup chup rahta hain
kambakht ye sannata bhi kahan ab chup chup rahta hain
bahut baatein karta hain vo teri tarah
aasman ke do kauno me sitare jagmagate hain
aasman ke do kauno me sitare jagmagate hain
ek meri tarah ek teri tarah
sari raat lihafo me royi ye aankhein
sari raat lihafo me royi ye aankhein
kehate the sab rishta nata sab jutha hain
par har juth par main yakeen karta raha teri tarah
tere har juth par main yakeen karta raha teri tarah
kehate hain ki sar jhukane se ye paththar bhi devta ho jata hain
kehate hain ki sar jhukane se paththar bhi devta ho jata hain
main phir bhi tujhe pujata raha kaash tu bhi devta ho jata dil na dukhata
teri vo baatein tere vo ahsaas puri zindagi yahi rahenge mere paas
bas sab teri yaadein sab teri baatein

No comments: