Ankit promised his fans to list out his top 10 favourite poems the poems that he likes and He is gonna read his favourites from down to top so here is the poem number 10 : -
Link to download this poem in MP3 format :-http://rapidshare.com/files/99298756/13_march_closing_poem.wav.html
LYRIC :-
saaye utare panchi laute
ab to chand bhi jane wala hain
ki saaye utare panchi laute
ab to chand bhi jane wala hain
lekin main vo tuta tara nahi jo aasman se neeche nahi girne wala hain
phir subah hui aankhein kholi kapade badale jute ke feete bandhe
aur is shehar ke bare me socha jo kuch der aur sone wala hain
kal phir ek khwab ne aakar mere aanshu ponche
kal phir mere ek khwab ne aakar mere aanshu ponche
jo hum sab ki tarah ek angdai lekar na jane kisaki aankhon me khone wala hain
dil ke ye darwaze ab koi khatkhatata nahi
dil ke ye darwaze ab koi khatkhatata nahi
shayad ab koi khatkhatne wala hain
kai saal tak hum logo ko bulate rahe
ab shayad koi hume bulane wala hain
main hu vo shabnam jo phoolon ki aankhon me rahe aur ye soche
aisa lagta hain sab kuch to nahi
magar kuch zarur is muththi me ane wala hain
hum ret ke in jalate zarro ko ye dhup hi chamkaye
varna chav se rishta purana hain
us chav ke ander kaun parchai banke ane wala hain
juganu chamake to main chaunku tara nikle to main sahmu
lagta hain mera koi sapna aaj phir mera dil jalane wala hain
jis chappar ke neeche ganv ke budhe hukka peete rahte hain
jis chappar ke neeche ganv ke budhe hukka peete rahte hain
us chat ke chappar me kaun dard sunane wala hain
jis aaine ko tum purse me rakhe phirte the tut gaya
ye dhup ka sheesha kisaki aankhon se khwab churane wala hain
log tut jate hain ek ghar banane me
ki log tut jate hain ek ghar banane me
tum kyun taras nahi khate kisi ka dil dukhane me
log tut jate hain ek ghar banane me
tum kyun taras nahi khate kisi ka dil dukhane me
har dhadakte dil ko log dil samajhate hain
are umra ban jati hain puri
har dhadakte dil ko log dil samajhate hain
are umra ban jati hain dil ko dil banane me
usaki majburi ye bhi kah nahi sakti
aaj bhi pura din lagaya sukhe phoolon se apna ghar sazane me
tamam rishto ko to main roz apne ghar ho chhod ata hu
par in char ghanto me Udaipur apase itna pyaar pata hu
bahut kuch yaad karta hu magar kah nahi pata
bahut ajeeb hain ye nazdeekiya ki duri bhi hain
bahut ajeeb hain ye nazdeekiya ki duri bhi hain
ki aap mere sath rahte hain itni der par dikhayi nahi dete
chaliye shayad ye ahsaas studio se main apne sath lekar jane wala hu
No comments:
Post a Comment