Monday, March 31, 2008

24 th march closing poem - poem number 3

Link :- http://rapidshare.com/files/102211853/24_march_closing_poem.wav.html
Lyric :-
ek parchai mere paas se mujhe chukar chali gayi
kahin palke aus se dhul gayi
kahin lki kyari phoolon se bhar gayi
teri yaad solah singaar hain
jise tune chu diya
usaki zindagi sanwar gayi
mera shayarana sa andaaz bhi jise log kahte hain deewangi
teri adaon se meri deewanagi aur badh gayi
teri aarzu teri justjuteri aarzu teri justju me bhatak raha tha gali gali
meri kahani ek jharne ne suni
to usaki bhi zindagi badal gayi
unhi do gharo ke kareeb hi kahin ye aag leke hawa gayi
na kabhi tumhari nazar gayi na meri gayi
na gamo ka mere hisab le na gamo ka tere hisab de
na gamo ka mere hisab le na gamo ka tere hisab de
kisi ki yaad me ek raat guzar gayi to guzar gayi
par us raat us parchai ka aks na dekh paya main
chahkar bhi us parchai se kuch na puch paya main
usaki kahi kuch baatein usase vo chand palo ki mulakate
usase kahi vo kuch baatein usase vo chand palo ki mulakate
na jane kitne dino se raat chain se na so paya main
janta hu mujhe chahati hain vo man hi man
janta hu mujhe chahati hain vo man hi man
jaise main kisi se na kah paya vo kisi se na kah saki
bas usase milane ke baad apane sapne ke siwa
kisi aur ko na chah paya main
apani palko se adhkhuli neend me chehra sirf usaka
apani palko se adhkhuli neend me chehra sirf usaka
usaka chehra kyu us raat thik se na dekha paya main
shayad vo geet hain paheli hain gazal hain mohabbat hain
jo bhi hain aaj din tak zindagi me use thik se gunguna na paya
haan ek parchai mere paas se chukar chali gayi
kahin palke aus se bhigo gayi
kahin dil ki kyari phoolon se bhar gayi

No comments: