Wednesday, March 19, 2008

19 th march opening poem

Link to download this poem in Ankit's own voice :- http://rapidshare.com/files/100790942/19_th_march_opening_poem.wav.html

Lyirc :-
apani saheliyo me vo meri baat kar aksar
aajkal bheed me bhi mera naam liya karti hain
apani saheliyo me vo meri baat kar aksar
aajkal bheed me bhi mera naam liya karti hain
raat ho to apane kangan ko chumkar pagali
apane khwabo me mere khwabo ko buna karti hain
raat ho to apane kangan ko chumkar pagali
apane khwabo me mere khwabo ko buna karti hain
chalti hain jab mohabbat ki aandhi
ki chalti hain jab mohabbat ki aandhi
to sham jati hain
fir chaand ko khidki se takte hue
vo mujhe yaad kiya karti hain
jab raat ho
jab ye raat ho to sabase chupkar apani diary likhati hain vo dilbar
jab raat ho to sabase chupkar apani diary likhati hain vo dilbar
har lafz me bas mujhe baya karti hain
apani soch me kabhi dub ke kho jati hain jab vo
apani soch me kabhi dub ke kho jati hain jab vo
yaadon ki paghdandi par meri ungali thaam kar chala karti hain
aye bahar to jikra mera chedati hain
ki jab aye bahar to jikra mera chedati hain
phoolon se aajkal vo is bhanware ka pata puchati hain
bhule se bhi mujhe koi dard na mile
ki bhule se bhi mujhe koi dard na mile
har raat chaand taro se yahi dua karti hain
padhati hain vo mera khat vo jab december ke mahine me
ki padhati hain jab vo mera khat december ke mahine me
mere khat ko thand na lag jaye isliye use razai me chupaya karti hain
mujhe pyaar se bhi jyada pyaar karti hain
shayad mera dil bhi aajkal apane takiye pe rakhati hain
tale lag jate hain har raat usake ghar ke darvaje par
par main kya pata kahin se chala aau
isliye khidkiya apani khula rakhati hain
hume jo dekhake jo chupchap parde me chip jati hain
hume jo dekhake jo chupchap jo parde me chip jati hain
aajkal shayad koi bahut hi khubsurat hume bhi pyaar kiya karti hain

No comments: