here is the link from where you can download this poem in Ankit's voice in MP3 format :-
http://rapidshare.com/files/98618208/11th_march_closing_poem.wav.html
LYRIC:-
phir hoth ki larzish geet bani
phir saanso ka naam shayad zindagi
phir sher kalam se nikale
ek nayi daastan bani
phir koi milane aya shayad tabhi ye mausam badla
phir dard kisi ka apana dard bana
phir koi milane aya shayad tabhi ye mausam badla
phir dard kisi ka apana dard bana
phir zakhm kisi ke apne zakhm ban jate hain
aisa kab hota hain
hoti hain garmi aur badal chale ate hain
shayad phir kisi ne yaad kiya tabhi ye mausam badla
phir badal ne chalte chalte apna rukh badla
phir badal ne chalte chalte apana rukh badla
phir ek aansu shayad aaj kisi ki aankh se tapka
sabne samjha use aus ka tukda
par gulab ne use gale lagaya
jab ek kaante ne kisi ka dil dukhaya
shayad tabhi ye mausam badla
ki chalte chalte badalo ne apna rukh badala
phir aya ek hava ka jhonka
phir aya ek hava ka jhonka jis jhonke ko kisi ne na roka
bas apane paro par baithakar us bund ko le gaya yahan se bahut dur
dur bahut dur
phir na jane vo aus ka tukda kaha jakar
barsa badal se barish bankar ya shayad aap sabki aanhon se pani bankar barsa
hua aaj subah shayad kuch aisa hi
ki apane kisi ko bahut yaad kiya bahut pyaar kiya
shayad tabhi to achanak se garmi me ye mausam badla
No comments:
Post a Comment