Monday, March 31, 2008

26 th march opening poem

Link :- http://rapidshare.com/files/103790569/26_march_opening_poem.wav.html
Lyric :-
Suna hain ki aansu aur barish ka ek sa rishta hain
barish girane ke baad mitti me kho jati hain
aur aansuo ki barish bhi ane ke baad bas
yaadon ki mehak jagakar na jane kahan chali jati hain
har zarra barish me behata hain
har zarre pani hi rahta hain
har zarra barish me behata hain
har zarre pani hi rahta hain
par tumhari aankh se aansu ka girna tha
ki dil me dard sa bhar gaya
par tumhari aankh se aansu ka girna tha
ki dil me dard sa bhar gaya tha
roz intezaar rahta hain barish ka
par tere aansuo ko dekhane ke baad vo intezaar khatm sa ho gaya
har ped ab tak chup chup sa khada hain
tu dekh tere aansuo ko dekh kitna dara hain
har ped ab tak chup chup sa khada hain
tu dekh tere aansuo ko dekh kitna dara hain
tere aansu dekhane ke baad vo barish ka tukada jane kahan ja gira hain
bunde jab patto girati hain
tip tip karti jati hain
sach kahu raat jab tu roti hain teri sisakiyo ki awaz yahan tak ati hain
barish barasane se pehale sau baar ye sochati hain
ki kahin tu ro na rahi ho
pani barasane ke sath kisi ki yaad me kho na rahi ho
bahut samjhaya hain maine barish ko
ki bahut samjhaya hain maine barish ko
kaha tera barsana sirf pani hain
magar usaka rona mohabbat ki nishani hain
tu bas tera kaam kiye ja
mohabbat me aansuo ki barish me mera naam kiye ja
ki phir khidaki hatakar
ki phir khidaki hatakar bahar dekha
to bahar barish ho rahi thi
palke jhapkayi to paya
yahan bhi barish ho rahi thi
suna hain aansu aur barish ka ek sa rishta hain

No comments: