Sunday, March 9, 2008

5th march opening poem

Link to download this poem in Ankit's voice :- http://rapidshare.com/files/98357786/5th_march_opening_poem.wav.html

LYRICS :-
jo guzar gaya un lamho me
jo sath hain un yaadon me
ye kya dhundhate ho haatho ki chand lakeero me
jise kal raat dekha tha apane sapane me
ya jise na paya apane khwabo me
jo guzar gaya un lamho me
ya jo sath hain un yaadon me
dhundhate ho jise har jagah kisi apane me
har beeti baat me ane wale kal me
apani kismat se kya puchate ho
apani kismat se kya puchate ho
kaun hain vo haatho ki lakeero me
jo bichad gaye un logo me
har anjaane chehare me
dhalate suraj me kya dhundhate ho
kya dhundhate ho barish ki bundo me
jise dekha hain sirf khwabo me
humane jise dekha hain sirf khwabo me
chaha hain jise din me chaha jise raato me
ek chand tanha akash me dhundhata hain
ek chand tanha akash me dhundhata hain
koi roz raat mujhe kahin hain kya jo pyaar se sochata hain
ek main tanha is shehar me ek chand tanha
roz chand sa humsafar koi dhundhata hain
ab aankhein mil bhi jaye kisi se to bhi main chup rahta hu
ab ye aankhein mil bhi jaye kisi se to bhi main chup rahta hu
kahan kuch kahta hu bas chup hi rahta hu sab kuch sahta hu
humane dil ki baat kabhi mani na thi
humane is dil ki baat kabhi mani na thi
aur jab mani bhi to kahin na thi
kahane ki sochi jab dil ki baato ko
kahan gayi vo mulakate kahan gayi
vo raato ko kahin to hogi un baaton me
kahin to hogi un khwabo me
haan shayad chand sa koi khubsurat humsafar
dhundhata hu main haatho ki lakeero me
jo guzar gaya un lamho me
jo sath hain un yaadon me

No comments: