Wednesday, March 12, 2008

12th march closing poem

Link from where u can download this poem in Ankit's own voice :- http://rapidshare.com/files/98946067/12th_march_closing_poem.wav.html
This was opening poem of today but it was read again in closing of show on demand of listeners but Ankit statred in same way but gave it a different ending so posted it twice read and see what difference opening and closing poem have although both are just brilliant
LYRIC :-
ab kya kahu tumase meri subah ka adhura sapna ho tum
chadhate chadhate rah gaya ek aisa halka nasha ho tum
band haatho se fisalti sunahri ret ho tum
sagar tak na pahunche jo nadi vo aankhon ka pani ho tum
jaha dekhu jaha mudu bas vahi maujud ho tum
jaha dekhu jaha mudu bas vahi maujud ho tum
agar aankhein band ho to meri saanso me basi ho tum
roz rahti ho meri aankhon ke samne
ek aks jo hatata nahi aankhon ke age se
vo aks ho tum
aankhein khuli to mere dil ki tasveer ho tum
aye mohabbat mohabbat ho tum
mujhame hokar bhi mujhase magar kauso dur ho tum
mujhame hokar bhi mujhase magar kauso dur ho tum
subah hote hi kho gayi jo chandni vo chandni ho tum
din dhalte ban gayi jo parchai vo parchai ho tum
raat phir aa rahi chand bhi nikalega hi
raat phir aa rahi chand bhi nikalega hi
tum hogi to chandani hogi tum hogi
par meri har subah ki pahali kiran ho tum
tujhe na dekhu na mahsus karu to meri subah na ho
meri aankhon se girane wale aansu jo ab moti ban jate hain vo moti ho tum
main har baar sochkar jise mahsus karta hu
har baat jo kisi se kahta nahi sirf tujhase kahta hu
ye badalta mausam ye barish ki bunde
in bundo me hota ek ahsaas ik baat ho tum
teri har baat me tere gusse me jo baat dabi rahti hain mera vo gussa ho tum
mohabbat karo par mohabbat ko kosana nahi
mohabbat karo par mohabbat ko kosana nahi
teri bewafai pe jaanbujh kar mit jau vo bewafai ho tum
teri khushi ke liye teri shaadi me bhi aana chahu
vo shadi ho tum vo sapna ho tum
aur kuch to khuda se hum mangate nahi khud ke liye
aur kuch to ab khuda se hum mangate nahi khud ke liye
bas tujhe mile duniya ki har khushi meri vo khushi ho tum

No comments: