Thursday, April 3, 2008

1st April closing poem

1st april closing poem
aaj opening and closing poem same hi thi
Link :- http://rapidshare.com/files/104718607/1_april_closing_poem.wav.html
Lyric :-
aaj main dur hu sabase par sabki yaadon ke sath hu
bhula chuka hu main khud ko par apane saye ke paas hu
jab main tanha tha bhari mehafil me
jab main tanha tha bhari mehafil me
koi kehane na aya main tere sath hu
aaj jab dil dukha hain tumhara
tabhi hua dard ka ahsaas tumako
ab phir se fariyaad karte ho
ab phir se fariyaad karte ho
kyu meri tarah kisi ko yaad karte ho
kya main apake jakhmo ka ilaaz hu
haan hu haan hu main apake har zakhmo ka ilaaz
main sirf apaki awaz hu
haqiqat main na sahi tum mere
bas khwabo me tum mere sath ho
haqiqat main na sahi tum mere
haan khwabo me tum mere sath ho
waqt ka ek daur vo bhi tha jab tere bina jeena mushqil tha
ab bhi hawaye to chalti hain
ki ab bhi hawaye to chalti hain
rukh na jane ye ab kahan ka karti hain
tu hi hain ek humnavapar jab milati hain to chup si rahti hain
apas me baithate hain bhale hi chup chup
hum apas me baithate hain bhale hi chup chup
par chup rahkar bhi na jane ti kitni baatein karti hain
par aisa kyu hota hain hamesha
baatein chahe kitani bhi kar le
baatein phir bhi baki rah jati hain
haan vo ek baat ek baat bas vo ek baat hamesha rah jati hain
pata nahi kyu aisa hota hain
ki agarbatti to tu jalati hain
pata nahi kyu aisa hota hainki agarbatti to tu jalati hain
aur rakh mere pujaghar me rah jati hain
main bhagwan ke mandir kabhi jata nahi
par pata nahi kyu unaki inayat ab har din mujh par badati jati hain
rishto ke mamle me shuru se hi main kachcha tha
par pata nahi kyu ab meri awaz apake sath
dosti ka mohabbat ka zindagi bhar sath rahenge
is rishte ko har pal badhati jati hain
aaj main dur hu sabase dur hu bas apaki yaado ke sath

No comments: