Link :- http://rapidshare.com/files/104718977/2_april_opening_poem.wav.html
Lyirc :-
Teri aankhein kya bolati hain
mere dil ke kitne raaz kholati hain
kahi ankahi suni ansuni baaton ki parte kholati hain
Teri aankhein kya bolati hain
tune us din kya humase aankhein milayi
tune us din kya humase aankhein milayi
jo baat din me kai saalo se shupi thi
kambakht teri aankhon me nazar ayi
neechi aankhon se tune ishq ke bahut se ashq sazaye
ki neechi aankhon se tune ishq ke bahut se ashq sazaye
un aankhon par un ashqo par baithkar
humane na jane khwabo ke kitne makan banaye
phir ek din aankhon ne din se bewafai ki
phir ek din aankhon ne din se bewafai ki
ek pani ki parat humane apane din se dhar li
ashqo ke badal chant dale
baat koi bhi ho humane dil ke tukade kar
bas tujhe bant dale
bas usi din dil ne teri un kajal lagi aankhon se baat ki
hay vo kajal
bas phir usi din dil ne teri un kajal lagi aankhon se baat ki
tune to kuch kaha nahi bas teri un jhuki aankhon ne hume
tere dil ka raaz bataya
aankhon ne ye samjhaya dost ki kyu dil pareshaan hain
aankhon ne ye jana dost ki kyu dil pareshaan hain
dil ki baatein palko se khol de
ishq hain ishq se to ishq ke har raaz bol de
kya pata kab ye subah ho na ho
aur ye ishq ki baatein hamesha ki tarah adhuri rah jaye
zindagi apani naav jaisi
kya pata ye kab kinare ka sath chhod kisi aur ho jaye
pata hain ki ishq ki kismat kya hoti hain
hume pata hain ki ishq ki kismat kya hoti hain
vo angare ki tarah chupke chupke sulagti hain
mulaqat to hoti hain sirf sirf chaar palo ki
par vo sulagti hain ishq ki tarah
aur pani dalo jitna kambakht utna bhadakti hain
main chahta hu kabhi aisi hi ek rakh ka dhua meri aankhon me bhi aye
main chahta hu kabhi ek aisi hi rakh ka dhua meri aankhon me bhi aye
bahana ho dhue ka aur tujhe yaad karte karte meri aankhein bhar jaye
ye thoda pani yaad ka hi sahi ek din mere jane ke baad teri aankhon me zarur aye
ek tamanna milane ki jo har pal zinda rakhe mujhako
ek tamanna milane ki jo har pal zinda rakhe mujhako
teri aankhein jab jhapake to Ankit ka dil dhadke
haan mere dil ke raaz sirf tujhase bolti hain ye aankhein
na jane kyu dekhati hain kabhi chuo kabhi natkhat si khelti hain ye aankhein
No comments:
Post a Comment