Thursday, April 3, 2008

2nd April closing poem

Link :- http://rapidshare.com/files/104719217/2_april_closing.wav.html
Lyric :-
mujhe aya hi nahi kisi ko rokana
ya kisi ke paas se yun ahista se guzar jana
mujhe aya hi nahi kisi ko rokana
ya kisi ke paas se yun ahista se guzar jana
ye sheeshe ka muqaddar bhi kamal hain
ye sheeshe ka muqaddar bhi kamal hain
bas ek din kisi se takrana
takrakar bikhar jana
taaro ki tarah raat ke seen me utar jana
taaro ki tarah raat ke seen me utar jana
ahat na ho kadmo ki bas tera mere paas se yun guzar jana
hume girkar samhalane ka fan yun hi nahi aya
hume girkar samhalane ka fan yun hi nahi aya
humane to teri julfo se seekha
hay kaise lahrake sanwar jana
bhar jayenge aankhon me aanchal se bandhe badal
ki bhar jayenge aankhon me aanchal se bandhe badal
yaad ayega jab kisi phool par ek aus ki bund ka
janbujh kar girna aur achanak se bikhar jana
har mod par do aankhein humase bas yahi kahti hain
har mod par vo do aankhein humase bas yahi kahti hain
ki jis tarah bhi mumkin ho jaldi hamare ghar ana
humane kaha koi rishta nahi hamara apase
humane kaha koi rishta nahi hamara apase
phir kyu us mitti ka ek diye me badal jana
sochna kisi aur ko bolana kisi aur ke bare me
magar bolate bolate aankhon ke samane tera chale ana
aaj bhi rukh moda hawao ne
aaj bhi ye rukh moda hwao ne
pata diya humane apake dil ka
pata diya humane apake dil ka
vo dil jahan teri yaadon ka hain aajkal ana jana
mujhe aya hi nahi kisi ko rokana
ya kisi ke paas se ahista se guzar jana

No comments: