Closing and opening poem was same today as usual just wd few changes closing poem is here
Link :- http://rapidshare.com/files/104728100/4_april_closing_poem.wav.html
Lyric :-
ek tera sath humako do jahan se pyara hain
ek tera sath humako do jahan se pyara hain
tu ho sath to sab kuch hamara
tu na ho to jaise dur koi kinara hain
hum akele jab bhi hote hain
teri yaado se us pal vasta hamara hota hain
hum akele jab bhi hote hain
teri yaado se us pal vasta hamara hota hain
aaj vo shehnai chup chup si hain
tujhe dekhane ke baad vo kangana na jane kya bolata hain
tu palke jhukake jab chalti hain
tu palke jhukake jab chalti hain
to mera bhi dil dolata hain
mere ghar ke chote se aangan me
mere ghar ke chote se aangan me
na jane kiska saya
aajkal mohabbat ke sher bolata hain
aaj agar tu humase milane ki soche
aaj agar tu humase milane ki soche
to lagta hain jaise savera hain
baki roz ki tarah hamari zindagi me to andhera hi andhera hain
kal tera sagar kinare mere paas baithna
kal tera sagar kinare mere paas baithna
baatein karna idhar udhar ki
par meri aankhon ke siwa kuch na dekhna
laga jaise teri pink dress me tere aanchal me
koi chandani kahin se aa gayi thi
laga jaise teri pink dress me tere aanchal me
koi chandani kahin se aa gayi thi
nazare dekhne ayi thi sagar kinare
par sirf tujhe dekhne ko vahi kahi cha gayi thi
aankhon me teri na jane kaise khubsurat sitare bhar gaye the
ki aankhon me teri na jane kaise khubsurat se sitare bhar gaye the
tujhe mere paas baitha dekh
kambakht ye tare bhi humase jhal gaye the
par hum to na jane kaise do hi mulaqato me
tujhase pyaar kar baithe
hum to na jane kaise bas do hi mulaqato me
tujhase pyaar kar baithe
ki hum to na jane kaise do mulaqato me
tujhase pyaar kar baithe
hum pehale se hi tere intezaar me mare ja rahe the
hum pehale hi tere intezaar me bas mare ja rahe the
ab deewane aashiq isi naam se sare shehar me charche-hisse ho gaye
kya kare ek tera sath humko do jahan se pyara
tu ho mere sath to sab kuch hamara
nahi dur ek kinara
No comments:
Post a Comment