Thursday, April 3, 2008

4 April opening poem

Link :- http://rapidshare.com/files/104728011/4_April_opening_poem.wav.html
Lyric :-
ek tera sath humako do jahan se pyara hain
ek tera sath humako do jahan se pyara hain
tu ho sath to sab kuch hamara
na ho to jaise dur koi kinara hain
hum akele jab bhi hote hain
teri yaado se us pal hamara vasta hota hain
hum akele jab bhi hote hain
teri yaado se us pal hamara vasta hota hain
kabhi vo shehnai gati rahti hain
kabhi vo tera kangana bolata jata hain
tu jab palke jhuka kar chalti hain
tu jab palke jhuka kar chalti hain
to mera bhi dil dolata hain
mere ghar ke chote se aangan me
mere ghar ke chote se aangan me
na jane mohabbat ka kaisa saya aajkal sher bolata hain
aaj agar tu humase milane ka soche to savera hain
aaj agar tu humase milane ka soche to savera hain
baki roz ki tarah hamari zindagi me to andhera hi andhera hain
kal tera sagar kinare mere paas baithna
kal tera sagar kinare mere paas baithna
baatein karna idhar udhar ki
par meri aankhon ke siwa kuch na dekhna
laga jaise teri pink dress me tere aanchal me
kahin chandani chup ho gayi hain
nazare dekhne ayi thi sagar kinare
par phir tujhe dekhne ke baad chup si ho gayi
aankhon me teri na jane kaise khubsurat sitare bhar gaye the
aankhon me teri na jane kaise khubsurat se sitare bhar gaye the
tujhe mere paas baitha dekh
vo sare tare humase jhal gaye the
par hum to na jane kaise do mulaqato hi me
tujhase pyaar kar baithe
par hum to na jane kaise do mulaqato me
tujhase pyaar kar baithe
janate hain hum jawab tera phir bhi tujhase
na chahte hue bhi
aankhon hi aankhon me iqrar kar baithe
hum pehale se hi tere intezaar me mare ja rahe the
hum pehale se hi tere intezaar me mare ja rahe the
deewana aashiq sirf tera aajkal isi naam se
sare shehar me badnaam ho gaye
ek tera sath humko do jahan se bhi pyara hain
tu ho mere sath to sab kuch hamara
nahi to bas dur jaise koi kinara

2 comments:

Ridhi said...

I LOVE THIS POEM.........
JUST LIKE......????????

skumar said...

Main keha...paji tussi gr8 ho..........yara...ki poem likhi hai....dil garden garden ho gaya....